wishaal desh
nashriya aal india radio bhopal indaur 8 july 68
sajī huī guloñ se ye hasīn vādiyāñ
ye sabza-zār-e-ḳhushnumā harī-bharī ye khetiyāñ
ye nahreñ jin meñ zindagī bhare hue hai mastiyāñ
ye jhilmilātī naddiyāñ ye muskurātī naddiyāñ
ye gaañv gaañv shahr shahr svarg ke samān haiñ
mere aziim desh kī ye bastiyāñ mahān haiñ
jagah jagah vikās kī ubhar rahī hai raushnī
na.ī adā se karvaTeñ badal rahī hai zindagī
mahak uThī ravish ravish chamak uThī galī galī
vo aaj phuul ban ga.ī jo kal thī adh-khilī kalī
jo pastiyāñ thiiñ kal vo ab urūj-e-āsmān haiñ
mire aziim desh kī ye bastiyāñ mahān haiñ
buland ūñchī buildingeñ ye jagmagāte rāste
basoñ ke motoroñ ke dauḌte hue ye silsile
kaloñ kī gaḌgaḌāhaToñ meñ zindagī ke valvale
taraqqiyoñ kī khoj meñ ravāñ davāñ ye qāfile
mire vatan kī ruuh haiñ mire chaman kī jaan haiñ
mire vishāl desh ke bhavishya kā nishān haiñ
har ek fard is chaman kā aaj pāsbān hai
clerk yā majūr hai javān yā kisān hai
mirā vatan aziim hai mirā vatan mahān hai
ye khetiyoñ kā desh hai miloñ kā ye jahān hai
ye sar-buland chimniyāñ vatan kī ān-bān haiñ
harī bharī ye khetiyāñ mire chaman kī shaan haiñ
nashriya aal india radio bhopal indaur 8 july 68
saji hui gulon se ye hasin wadiyan
ye sabza-zar-e-KHushnuma hari-bhari ye khetiyan
ye nahren jin mein zindagi bhare hue hai mastiyan
ye jhilmilati naddiyan ye muskuraati naddiyan
ye ganw ganw shahr shahr swarg ke saman hain
mere azim desh ki ye bastiyan mahan hain
jagah jagah wikas ki ubhar rahi hai raushni
nai ada se karwaTen badal rahi hai zindagi
mahak uThi rawish rawish chamak uThi gali gali
wo aaj phul ban gai jo kal thi adh-khili kali
jo pastiyan thin kal wo ab uruj-e-asman hain
mere azim desh ki ye bastiyan mahan hain
buland unchi buildingen ye jagmagate raste
bason ke motoron ke dauDte hue ye silsile
kalon ki gaDgaDahaTon mein zindagi ke walwale
taraqqiyon ki khoj mein rawan dawan ye qafile
mere watan ki ruh hain mere chaman ki jaan hain
mere wishaal desh ke bhawishya ka nishan hain
har ek fard is chaman ka aaj pasban hai
clerk ya majur hai jawan ya kisan hai
mera watan azim hai mera watan mahan hai
ye khetiyon ka desh hai milon ka ye jahan hai
ye sar-buland chimniyan watan ki aan-ban hain
hari bhari ye khetiyan mere chaman ki shan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.