zaruri hai
chhoTī sī hai baat samajh lenā 'farhān' zarūrī hai
dhartī se ākāsh talak ho utnā gyaan zarūrī hai
achchhe aur bure kī sohbat apnā rañg dikhātī hai
khoTe aur khare kī tum ko ho pahchān zarūrī hai
mil-jul kar rahnā hai jīvan mil-jul kar ham rahte haiñ
giitā ke shlok zarūrī haiñ qur.ān zarūrī hai
honī to ho kar rahtī hai lekin itnā yaad rahe
nanhe nanhe hoñToñ par khele muskān zarūrī hai
prem kī ḳhushbū chappe chappe meñ tum ko phailānā hai
sun lo merī aañkh ke taaro ye elaan zarūrī hai
ham ko apne desh kī ḳhātir jiinā hai mar jaanā hai
is duniyā ko rahnā hai to hindostān zarūrī hai
chhoTi si hai baat samajh lena 'farhan' zaruri hai
dharti se aakash talak ho utna gyan zaruri hai
achchhe aur bure ki sohbat apna rang dikhati hai
khoTe aur khare ki tum ko ho pahchan zaruri hai
mil-jul kar rahna hai jiwan mil-jul kar hum rahte hain
gita ke shlok zaruri hain quran zaruri hai
honi to ho kar rahti hai lekin itna yaad rahe
nanhe nanhe honTon par khele muskan zaruri hai
prem ki KHushbu chappe chappe mein tum ko phailana hai
sun lo meri aankh ke taro ye elan zaruri hai
hum ko apne desh ki KHatir jina hai mar jaana hai
is duniya ko rahna hai to hindostan zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.