poster
yaad kī dīvār hai
dīvār par ek poster
aur poster meñ kāmnī...
sabz āñkheñ
be-karāñ āñkheñ tirī
kalba-e-nisyān meñ
aur barf ke tūfān meñ
dhundlī huīñ, ḳhālī huiiñ
ye fanā ke garm bosoñ ke nishāñ
jal gayā miTTī kā ras
rā.egāñ sab rā.egāñ
yaad ki diwar hai
diwar par ek poster
aur poster mein kaamni
sabz aankhen
be-karan aankhen teri
kalba-e-nisyan mein
aur barf ke tufan mein
dhundli huin, KHali huin
ye fana ke garm boson ke nishan
jal gaya miTTi ka ras
raegan sab raegan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.