prem ke dhaare
masjid mandir aur gurudvāre
ham sab kī āñkhoñ ke taare
bhārat hai ik prem kā sāgar
chanchal maujeñ shītal dhāre
baat zabāñ kī karne vaale
desh ke hoñ na ab baTvāre
band karo nafrat ke darīche
yak-jehtī ke kholo dvāre
taaza havā kā jhoñkā aayā
khol de jogī man kā dvārā
aas 'adīm' hai jotī nainā
har bhāshā hai qaumī gahnā
masjid mandir aur gurudware
hum sab ki aankhon ke tare
bhaarat hai ek prem ka sagar
chanchal maujen shital dhaare
baat zaban ki karne wale
desh ke hon na ab baTware
band karo nafrat ke dariche
yak-jehti ke kholo dware
taza hawa ka jhonka aaya
khol de jogi man ka dwara
aas 'adim' hai joti naina
har bhasha hai qaumi gahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.