priti
tum nahīñ ho miTne vaalī nahīñ
paatī ho janam tum na.e na.e
har na.ī bahār ke phūloñ meñ
mānind-e-hayāt tumhāre patte bhī piile paḌ jaate haiñ
mānind-e-hayāt tumheñ bhī Dhak detī hai barf
par tumhārī miTTī meñ prītī
pakke bachnoñ ke biij dabe haiñ
puurā honā hai jin ko basar away meñ bhī
piit na karne kī ye dhun be-kār hai
ye mahkār bharā jhoñkā
lauT aatā hai ek na ek din
aatm nagar meñ
jaise raat sitāroñ bharī
aur samāne lagtī ho tum rome rome meñ prītī
pahle se pākīza
tum paak ho aur isī kāran huā amar
jab tum hotī ho tab nīlāhaT se
jhunD ke jhunD safed mulā.em hansoñ ke
jin ko ham mare-khape samjhe the
lauT aate haiñ
phuul phuul se pattiyāñ khilātī rahtī ho tum na.ī na.ī
tum sadā sadā ke nuur ko raag banā detī ho
na.ī na.ī āvāzoñ se janmā huā raag
tum amar ho prītī
jaise bahār
tum nahin ho miTne wali nahin
pati ho janam tum nae nae
har nai bahaar ke phulon mein
manind-e-hayat tumhaare patte bhi pile paD jate hain
manind-e-hayat tumhein bhi Dhak deti hai barf
par tumhaari miTTi mein priti
pakke bachnon ke bij dabe hain
pura hona hai jin ko basar away mein bhi
pit na karne ki ye dhun be-kar hai
ye mahkar bhara jhonka
lauT aata hai ek na ek din
aatm nagar mein
jaise raat sitaron bhari
aur samane lagti ho tum rome rome mein priti
pahle se pakiza
tum pak ho aur isi karan hua amar
jab tum hoti ho tab nilahaT se
jhunD ke jhunD safed mulaem hanson ke
jin ko hum mare-khape samjhe the
lauT aate hain
phul phul se pattiyan khilati rahti ho tum nai nai
tum sada sada ke nur ko rag bana deti ho
nai nai aawazon se janma hua rag
tum amar ho priti
jaise bahaar
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 355)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.