ai shaḳhs agar 'josh' ko to DhūñDhnā chāhe
vo pichhle pahar halqa-e-irfāñ meñ milegā
aur sub.h ko vo nāzir-e-nazzāra-e-qudrat
taraf-e-chaman-o-sahn-e-bayābāñ meñ milegā
aur din ko vo sar-gashta-e-asrār-o-ma.ānī
shahr-e-hunar-o-kū-e-bayābāñ meñ milegā
aur shaam ko vo mard-e-ḳhudā rind-e-ḳharābāt
rahmat-kada-e-bāda-faroshāñ meñ milegā
aur raat ko vo ḳhalvatī-e-kākul-o-ruḳhsār
bazm-e-tarab-o-kūcha-e-ḳhūbāñ meñ milegā
aur hogā koī jabr to vo banda-e-majbūr
murde kī tarah kalba-e-ahzāñ meñ milegā
ai shaKHs agar 'josh' ko to DhunDhna chahe
wo pichhle pahar halqa-e-irfan mein milega
aur subh ko wo nazir-e-nazzara-e-qudrat
taraf-e-chaman-o-sahn-e-bayaban mein milega
aur din ko wo sar-gashta-e-asrar-o-maani
shahr-e-hunar-o-ku-e-bayaban mein milega
aur sham ko wo mard-e-KHuda rind-e-KHarabaat
rahmat-kada-e-baada-faroshan mein milega
aur raat ko wo KHalwati-e-kakul-o-ruKHsar
bazm-e-tarab-o-kucha-e-KHuban mein milega
aur hoga koi jabr to wo banda-e-majbur
murde ki tarah kalba-e-ahzan mein milega
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 13)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.