punctuation
tumheñ bhejūñ kitāb-e-zindagī apnī
zarā tartīb de denā
jahāñ par baat mub.ham hai jise tafsīl lāzim hai
vahāñ par hāshiya denā
kahīñ gar do mukammal lafz ikaTThe ho ga.e hoñ to ye qurbat ġhair-fitrī hai
zarūrī hai munāsib fāsla denā
jahāñ par ḳhatm hotā ho koī dard-āshnā jumla
farāmoshī kā nuqta sabt kar denā
vahīñ par ḳhatm kar denā
na.e aurāq meñ le kar nahīñ chalnā
adaq sī istelāheñ haiñ ka.ī jin ko samajhne se
maiñ qāsir aaj tak huuñ
phir baḌe uljhāo haiñ jin kā sirā ab tak nahīñ miltā
tumheñ lāzim hai vahdānī ḳhatoñ meñ un kā matlab khol kar likhnā
maqām aise bhī haiñ jin par qadam yuuñ Dagmagā.e the
ki shānoñ par rakhī saarī imārat Dol jaatī thī
unheñ vāvīn de denā
ka.ī ḳhushiyoñ kī satreñ thiiñ
jo ġham-añgez pairoñ meñ kahīñ mil-jul ga.ī haiñ
chhāñT kar un ko alag karnā
nayā unvān de denā
zarā kuchh shakl ban jaa.e to yuuñ karnā
havā ke haath meñ dene se pahle
ik purānī naql apne paas rakhnā
ik mujhe irsāl kar denā
tumhein bhejun kitab-e-zindagi apni
zara tartib de dena
jahan par baat mubham hai jise tafsil lazim hai
wahan par hashiya dena
kahin gar do mukammal lafz ikaTThe ho gae hon to ye qurbat ghair-fitri hai
zaruri hai munasib fasla dena
jahan par KHatm hota ho koi dard-ashna jumla
faramoshi ka nuqta sabt kar dena
wahin par KHatm kar dena
nae auraq mein le kar nahin chalna
adaq si istelahen hain kai jin ko samajhne se
main qasir aaj tak hun
phir baDe uljhao hain jin ka sira ab tak nahin milta
tumhein lazim hai wahdani KHaton mein un ka matlab khol kar likhna
maqam aise bhi hain jin par qadam yun Dagmagae the
ki shanon par rakhi sari imarat Dol jati thi
unhen wawin de dena
kai KHushiyon ki satren thin
jo gham-angez pairon mein kahin mil-jul gai hain
chhanT kar un ko alag karna
naya unwan de dena
zara kuchh shakl ban jae to yun karna
hawa ke hath mein dene se pahle
ek purani naql apne pas rakhna
ek mujhe irsal kar dena
- Book : Gul-e-Dupahar (Pg. 32)
- Author : Saima Asma
- Publication : Idarah Batool, Sayyed Palaza, Firozpur Road (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.