pul-siraat
maiñ jis meñ rahtī huuñ merā ghar hai
yahāñ kī dīvār-o-dar ke andar
mirī javānī ke tāne-bāne
har ik rag-e-sañg meñ ravāñ haiñ
yahāñ pe nikhrī huī safedī
mire buḌhāpe kī aane vaalī
sahar kā elaan kar rahī hai
yahāñ kī chhat mere dil se niklī huī duā hai
jo bārgāh-e-ḳhudā meñ maqbūl ho ke saaya kiye hue hai
yahāñ kī khiḌkī yahāñ ke rauzan
mirī hī āñkhoñ ke ḳhvāb haiñ
kuchh meñ raushnī kuchh bujhe bujhe haiñ
yahāñ pe kuchh log rah chuke haiñ
yahāñ pe kuchh log rah rahe haiñ
hamāre mābain kyā hai maazī ke rābte haiñ
vo rābte jin pe sirf merī giraft mahfūz rah ga.ī hai
jabhī to aisā huā hai aksar
maiñ apne hāthoñ ko ḳhud jhaTak kar
nikal paḌī aise rāste par
jo baal se bhī mahīn
talvār kī tarah
tund o murta.ish thā
maiñ kaT ke gir jaanā chāhtī thī
bikhar ke mar jaanā chāhtī thī
magar na-jāne mujhe huā kyaa!
bajā.e is ke ki nīche dekhūñ
mirī in āñkhoñ ne pīchhe dekhā
vahīñ jahāñ ek ghar khaḌā thā
vo jis kī khiḌkī vo jis ke rauzan
mirī hī āñkhoñ ke ḳhvāb the, kuchh meñ raushnī, kuchh bujhe bujhe the!!
main jis mein rahti hun mera ghar hai
yahan ki diwar-o-dar ke andar
meri jawani ke tane-bane
har ek rag-e-sang mein rawan hain
yahan pe nikhri hui safedi
mere buDhape ki aane wali
sahar ka elan kar rahi hai
yahan ki chhat mere dil se nikli hui dua hai
jo bargah-e-KHuda mein maqbul ho ke saya kiye hue hai
yahan ki khiDki yahan ke rauzan
meri hi aankhon ke KHwab hain
kuchh mein raushni kuchh bujhe bujhe hain
yahan pe kuchh log rah chuke hain
yahan pe kuchh log rah rahe hain
hamare mabain kya hai mazi ke rabte hain
wo rabte jin pe sirf meri giraft mahfuz rah gai hai
jabhi to aisa hua hai aksar
main apne hathon ko KHud jhaTak kar
nikal paDi aise raste par
jo baal se bhi mahin
talwar ki tarah
tund o murtaish tha
main kaT ke gir jaana chahti thi
bikhar ke mar jaana chahti thi
magar na-jaane mujhe hua kya!
bajae is ke ki niche dekhun
meri in aankhon ne pichhe dekha
wahin jahan ek ghar khaDa tha
wo jis ki khiDki wo jis ke rauzan
meri hi aankhon ke KHwab the, kuchh mein raushni, kuchh bujhe bujhe the!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.