Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

punjab

MORE BYArsh Malsiyani

    zinda-dil punjab ke beTo tumheñ merā salām

    tum parastār-e-gurū-nānak fidā-e-kirishn-o-rām

    ye tumhārā des raaja drupd panchāl des

    haañ vahī ranjīt-singh ke daur ḳhush-hāl des

    nām-levā jin ke tum ho un sīrat be-misāl

    un jur.at be-misāl un shujā.at be-misāl

    is meñ sher-o-shā.erī hai is meñ raqs-o-rañg bhī

    hiir vāris-shāh bhī hai rabāb-o-chañg bhī

    vīr-singh aur amritā-pirītam yahāñ māhir yahāñ

    'arsh' 'aḳhtar' 'josh' aur 'mahrūm' se shā.ir yahāñ

    shīr-e-gul ke mū-qalam se ḳhāma-e-mānī ḳhajil

    is tasvīroñ meñ hai betāb panjāban dil

    lājpat-rā.e yahīñ jām-e-shahādat ga.e

    jaane kitne qaum ḳhātir mare aur ga.e

    sar-zamīn-e-hind ye bāzū-e-shamshīr-e-zan

    jis ke mardān-e-jarī haiñ sho.ala-bār-o-saf-shikan

    khetiyoñ meñ jis ke barakat jis ke khaliyānoñ meñ nuur

    jis ke bāġhoñ meñ iram bas ke pahāḌoñ par hai tuur

    jis ke mard-o-zan hissa-e-ḳhūb-rūī jalāl

    jin ke chehroñ par chhiḌaktī hai tavānā.ī gulāl

    bhākḌā-nañgal jis ne be-badal ta.amīr

    apne farzandoñ ko jis ne ḳhūbī-e-tadbīr

    jo masā.ib is ne jhele haiñ unheñ jhelegā kaun

    khel jo himmat ke khele us ne vo khelegā kaun

    zaḳhm jis ne apne siine par liyā taqsīm

    chaak jis ne apne hāthoñ se siyā taqsīm

    haañ usī ḳhush-vaqt ḳhāk-e-pāk ke beTe ho tum

    meñ na mānūñgā ki aql-o-fahm ke heTe ho tum

    maiñ na mānūñgā kudūrat fitrat-e-punjab hai

    merā na.ara hai mohabbat fitrat-e-punjab hai

    zinda-dil punjab ke beTo tumhein mera salam

    tum parastar-e-guru-nanak fida-e-kirishn-o-ram

    ye tumhaara des raja drupd ka panchaal des

    han wahi ranjit-singh ke daur ka KHush-haal des

    nam-lewa jin ke tum ho un ki sirat be-misal

    un ki jurat be-misal un ki shujaat be-misal

    is mein sher-o-shaeri hai is mein raqs-o-rang bhi

    hir waris-shah ki bhi hai rabab-o-chang bhi

    wir-singh aur amrita-piritam yahan mahir yahan

    'arsh' 'aKHtar' 'josh' aur 'mahrum' se shair yahan

    shir-e-gul ke mu-qalam se KHama-e-mani KHajil

    is ki taswiron mein hai betab panjaban ka dil

    lajpat-rae yahin jam-e-shahadat pi gae

    jaane kitne qaum ki KHatir mare aur ji gae

    sar-zamin-e-hind ka ye bazu-e-shamshir-e-zan

    jis ke mardan-e-jari hain shoala-bar-o-saf-shikan

    khetiyon mein jis ke barakat jis ke khaliyanon mein nur

    jis ke baghon mein iram bas ke pahaDon par hai tur

    jis ke mard-o-zan ka hissa-e-KHub-rui ka jalal

    jin ke chehron par chhiDakti hai tawanai gulal

    bhakDa-nangal ki jis ne be-badal tamir di

    apne farzandon ko jis ne KHubi-e-tadbir di

    jo masaib is ne jhele hain unhen jhelega kaun

    khel jo himmat ke khele us ne wo khelega kaun

    zaKHm jis ne apne sine par liya taqsim ka

    chaak jis ne apne hathon se siya taqsim ka

    han usi KHush-waqt KHak-e-pak ke beTe ho tum

    mein na manunga ki aql-o-fahm ke heTe ho tum

    main na manunga kudurat fitrat-e-punjab hai

    mera nara hai mohabbat fitrat-e-punjab hai

    Source :

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now