purana bagh
kaisā sannāTā hai yā-rab
aur kaisī tilmilātī muztarib tanhā.ī hai
āvāzeñ aatī haiñ lekin
milī-julī
ūñchī nīchī
ma.anī matlab ko sirf
zarā sā chhūkar
idhar udhar bah jaatī haiñ
ik yaad kī ḳhushbū aatī hai
rangīn munaqqash
titlī ke thartharāte par jaise
lekin vo bhī
ik jhoñkā le kar
uḌ jaatī hai
kaisa sannaTa hai ya-rab
aur kaisi tilmilati muztarib tanhai hai
aawazen aati hain lekin
mili-juli
unchi nichi
mani matlab ko sirf
zara sa chhukar
idhar udhar bah jati hain
ek yaad ki KHushbu aati hai
rangin munaqqash
titli ke thartharaate par jaise
lekin wo bhi
ek jhonka le kar
uD jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.