purane dushman
ik sūraj hai jo shām-Dhale mujhe pursā dene aatā hai
un phūloñ kā jo mere lahū meñ khilne the aur khile nahīñ
un logoñ kā jo kisī moḌ par milne the aur mile nahīñ
ik ḳhushbū hai jo bastī bastī merā pīchhā kartī hai
aur apne jī kī baat batāte Dartī hai
ik dariyā hai jo janam janam kī pyaas bujhāne aatā hai
aur añgāre barsātā hai
aur ye sūraj aur ye ḳhushbū aur ye dariyā
mirī ān-bān ke bairī haiñ
sab merī jaan ke bairī haiñ
ek suraj hai jo sham-Dhale mujhe pursa dene aata hai
un phulon ka jo mere lahu mein khilne the aur khile nahin
un logon ka jo kisi moD par milne the aur mile nahin
ek KHushbu hai jo basti basti mera pichha karti hai
aur apne ji ki baat batate Darti hai
ek dariya hai jo janam janam ki pyas bujhane aata hai
aur angare barsata hai
aur ye suraj aur ye KHushbu aur ye dariya
meri aan-ban ke bairi hain
sab meri jaan ke bairi hain
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.