purani diwar
purānī bahut purānī kaa.ī lagī dīvār
lakhorī īñToñ kī
itihās ne apne lambe lambe hāthoñ se joḌoñ ko jis ke bāñdhā hai
aur gulābī bhūre sabz mile-jule dhabboñ se jis par laakh kahānī
likh Daalī hai
albelī kirneñ roz sub.h chupke se us par chaḌh jaatī haiñ
idhar udhar phir jhāñktī haiñ
aur ek ek karke dabe paañv
konoñ meñ is ke luk jaatī haiñ
dauḌ dauḌ kar āñkh-michaulī kheltī haiñ
lajjā se chuur latā nihuḌā.e sar muskātī hai
halke se us ke dāman se do-chār phuul Tapak jaate haiñ
sahar uThtā hai sabza
āsmān ne aaj use phir
rang latāfat ḳhushbū kā ye komal tohfa
bheñT kiyā hai
man us kā ye daulat
pā kar bhī bhar aatā hai
ye ānand anant nahīñ hai
magar yahī sparsh
hazāroñ tāroñ meñ jīvan duniyā ke
ras bhartā hai
aur phir is se aise raag nikalte haiñ
jo kabhī nahīñ marte
is dīvār ke saa.e meñ
is upvan meñ
sard khaḌe haiñ bilkul sīdhe
sākit chup
ashok baḌī gambhīr soch meñ gum
purāne mandir jaise
kañval kī kaliyāñ
harī harī saarī phailā.e
tair rahī haiñ
aur favvāra halke halke yuuñ chaltā hai
jaise sub.h ko bālak
soī maañ ke Dar se
sisak sisak kar bilke
purani bahut purani kai lagi diwar
lakhori inTon ki
itihas ne apne lambe lambe hathon se joDon ko jis ke bandha hai
aur gulabi bhure sabz mile-jule dhabbon se jis par lakh kahani
likh Dali hai
albeli kirnen roz subh chupke se us par chaDh jati hain
idhar udhar phir jhankti hain
aur ek ek karke dabe panw
konon mein is ke luk jati hain
dauD dauD kar aankh-michauli khelti hain
lajja se chur lata nihuDae sar muskati hai
halke se us ke daman se do-chaar phul Tapak jate hain
sahar uThta hai sabza
aasman ne aaj use phir
rang latafat KHushbu ka ye komal tohfa
bhenT kiya hai
man us ka ye daulat
pa kar bhi bhar aata hai
ye aanand anant nahin hai
magar yahi sparsh
hazaron taron mein jiwan duniya ke
ras bharta hai
aur phir is se aise rag nikalte hain
jo kabhi nahin marte
is diwar ke sae mein
is upwan mein
sard khaDe hain bilkul sidhe
sakit chup
ashok baDi gambhir soch mein gum
purane mandir jaise
kanwal ki kaliyan
hari hari sari phailae
tair rahi hain
aur fawwara halke halke yun chalta hai
jaise subh ko baalak
soi man ke Dar se
sisak sisak kar bilke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.