pursa
Interesting Fact
(dost 'nazr-jaaved' ke vaalid-e-muhtaram kii rahlat par)
bistar par muTThī bhar haDDiyāñ rah ga.iiñ
to masīhā ne batāyā
ab miTTī par zyāda haq miTTī kā hai
so ham ne miTTī par miTTī liip kar us par ek charāġh
kā katba likkhā
rāt!!! sub.h tak havā phūñktī phirtī thī
aur sitāre hamārī hatheliyoñ par paḌe maile
hote rahe
āñ.suoñ ko sabr kā kafan kahāñ se deñ
phuul apnī ḳhushbū chhoḌtā hai hañsī nahīñ chhoḌtā
ġham-zado!!! charāġh āñkhoñ ko sauñp do
ki aañsū sirf charāġh rotā hai
jis haath par charāġh dharā thā
vo haath hamārī chhat thā
dar-o-dīvār par chhat na rahe
to bādal bhī hausla haar dete haiñ
tumhāre āsmān par rote hue ḳhayāl aayā
merā āsmān bhī kitnā būḌhā ho gayā hai
kuchh aañsū bachā le mere dost!
bistar par muTThi bhar haDDiyan rah gain
to masiha ne bataya
ab miTTi par zyaada haq miTTi ka hai
so hum ne miTTi par miTTi lip kar us par ek charagh
ka katba likkha
raat!!! subh tak hawa phunkti phirti thi
aur sitare hamari hatheliyon par paDe maile
hote rahe
aansuon ko sabr ka kafan kahan se den
phul apni KHushbu chhoDta hai hansi nahin chhoDta
gham-zado!!! charagh aankhon ko saunp do
ki aansu sirf charagh rota hai
jis hath par charagh dhara tha
wo hath hamari chhat tha
dar-o-diwar par chhat na rahe
to baadal bhi hausla haar dete hain
tumhaare aasman par rote hue KHayal aaya
mera aasman bhi kitna buDha ho gaya hai
kuchh aansu bacha le mere dost!
- Book : Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.