pura chand
puurā chāñd
puurā chāñd nahīñ diyā tum ne mujhe
merī ye nādān shikāyat yaad hai tumheñ
chhoTe se ghar kī TuuTī huī chhat se
chāñd ko TukḌoñ meñ dekhā kartī thī
tum mujhe dekhte rahte
maiñ chhat meñ kuchh DhūñDhā kartī thī
haath baḌhā kar chhū luuñ jī kartā thā
tumhāre haath meñ piroī uñgliyāñ
chhūTā nahīñ kartī thī
kitnī rāteñ isī armān meñ guzrī
torch se nikaltī raushnī kī tarah
mere chehre par bikhrī thoḌī sī chāñdnī ko
apnī uñgliyoñ se chhū kar
tum kahte the puurā chāñd
aur tumhārī bāhoñ kī ThanDak meñ
vo armān gum-shuda hotā gayā
rassī pe Tañgī tumhārī safed qamīs
dekhe binā niiñd nahīñ aatī ab
tumhāre pyaar ke ujāloñ se behtar
koī aur nuur hogā
rāt-bhar kā umr-bhar kā
puure chāñd kā vo adhūrā armān
so gayā mere bhītar sukūn se
apnā bharā puurā āsmān oḌh kar
pura chand
pura chand nahin diya tum ne mujhe
meri ye nadan shikayat yaad hai tumhein
chhoTe se ghar ki TuTi hui chhat se
chand ko TukDon mein dekha karti thi
tum mujhe dekhte rahte
main chhat mein kuchh DhunDha karti thi
hath baDha kar chhu lun ji karta tha
tumhaare hath mein piroi ungliyan
chhuTa nahin karti thi
kitni raaten isi arman mein guzri
torch se nikalti raushni ki tarah
mere chehre par bikhri thoDi si chandni ko
apni ungliyon se chhu kar
tum kahte the pura chand
aur tumhaari bahon ki ThanDak mein
wo arman gum-shuda hota gaya
rassi pe Tangi tumhaari safed qamis
dekhe bina nind nahin aati ab
tumhaare pyar ke ujalon se behtar
koi aur nur hoga
raat-bhar ka umr-bhar ka
pure chand ka wo adhura arman
so gaya mere bhitar sukun se
apna bhara pura aasman oDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.