Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pure badan ke sath aana

Nadeem Najid

pure badan ke sath aana

Nadeem Najid

MORE BYNadeem Najid

    ham apne apne badan hadoñ meñ gum rah kar

    bahut hasīn bahut mahīn jazboñ ko

    ghuTan aag meñ jalne ko chhoḌ dete haiñ

    ham apnī maiñ 'aqīdat meñ sajda-zan ho kar

    qasam vujūd marne ko chhoḌ dete haiñ

    hudūd-e-jism se bāhar nikal ke mil kisī din

    dikhā nikāl ke siine se apne dil kisī din

    ye baat pyaar meñ sunñe ko hai hasīñ jaanā

    pe ham ne 'ishq tajsīm ko nahīñ maanā

    vujūd-e-'ain yaktā.ī ko nahīñ maanā

    ye rahguzār-e-mohabbat sabhī ke vāste hai

    vujūd-e-vahdat-e-me'rāj biich rāste hai

    kabhī jo aanā to puure badan ke saath aanā

    kabhī jo aanā to puure badan ke saath aanā

    hum apne apne badan ki hadon mein gum rah kar

    bahut hasin bahut hi mahin jazbon ko

    ghuTan ki aag mein jalne ko chhoD dete hain

    hum apni main ki 'aqidat mein sajda-zan ho kar

    qasam wujud ki marne ko chhoD dete hain

    hudud-e-jism se bahar nikal ke mil kisi din

    dikha nikal ke sine se apne dil kisi din

    ye baat pyar mein sunne ko hai hasin jaana

    pe hum ne 'ishq ki tajsim ko nahin mana

    wujud-e-'ain ki yaktai ko nahin mana

    ye rahguzar-e-mohabbat sabhi ke waste hai

    wujud-e-wahdat-e-me'raj bich raste hai

    kabhi jo aana to pure badan ke sath aana

    kabhi jo aana to pure badan ke sath aana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now