pyar bhara tehwar
sūraj apnī pichkārī se kartā hai yalġhār
sub.h ke ujle dāman pe hai rañgā-rañg bahār
niile piile laal gulābī rañgoñ kī bauchhār
jhūmeñ nācheñ dhuum machā.eñ galiyāñ aur bāzār
baaje tāshe ser tamāshe le kar jaagī bhor
rañg ke andar rañg jagā.e holī chāroñ or
mastoñ kī Tolī ke pīchhe hai mastoñ kā shor
aaj tarañgoñ aur umañgoñ kā hai puurā zor
raag rañg aur khel tamāshe holī kā uphār
hirdai hirdai prem jagā.e pyaar bharā tehvār
mīThī mīThī chheḌ-chhāḌ aur mīThī mīThī dhuum
galiyoñ galiyoñ saḌkoñ saḌkoñ bājeñ man ke taar
nit rañgoñ se yak-rañgī kā jaage jab ehsās
tab holī kā jashn manā.e dhartī aur ākās
suraj apni pichkari se karta hai yalghaar
subh ke ujle daman pe hai ranga-rang bahaar
nile pile lal gulabi rangon ki bauchhaar
jhumen nachen dhum machaen galiyan aur bazar
baje tashe ser tamashe le kar jagi bhor
rang ke andar rang jagae holi chaaron or
maston ki Toli ke pichhe hai maston ka shor
aaj tarangon aur umangon ka hai pura zor
rag rang aur khel tamashe holi ka uphaar
hirdai hirdai prem jagae pyar bhara tehwar
miThi miThi chheD-chhaD aur miThi miThi dhum
galiyon galiyon saDkon saDkon bajen man ke tar
nit rangon se yak-rangi ka jage jab ehsas
tab holi ka jashn manae dharti aur aakas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.