pyar hai wo
nannhī munnī duudh kī ḳhushbū luñDhātī guDhliyoñ chaltī mohabbat bāñTtī
tutlāhaToñ kā qāfila-sālār hai vo
ras se bhārī hoñT chandan sī mahaktī zulf amrit se bhare
ulTe kaToroñ lajlajī lazzat se bojhal Tahniyoñ kā ḳhandaqoñ qosoñ
tikonoñ kā alam-bardār hai vo
jhuktī kamroñ barf se bāloñ badan ke dukhte joḌoñ jannatī pairoñ
kī ḳhātir sūrat-e-dastār hai vo
sub.h-e-taḳhlīq-o-tasavvur hai javānī kī do-pahrī
visāl-e-zīst kā tyauhār hai vo
pyaar hai vo
nannhi munni dudh ki KHushbu lunDhati guDhliyon chalti mohabbat banTti
tutlahaTon ka qafila-salar hai wo
ras se bhaari honT chandan si mahakti zulf amrit se bhare
ulTe kaToron lajlaji lazzat se bojhal Tahniyon ka KHandaqon qoson
tikonon ka alam-bardar hai wo
jhukti kamron barf se baalon badan ke dukhte joDon jannati pairon
ki KHatir surat-e-dastar hai wo
subh-e-taKHliq-o-tasawwur hai jawani ki do-pahri
visal-e-zist ka tyauhaar hai wo
pyar hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.