pyar ka jashn
pyaar kā jashn na.ī tarah manānā hogā
ġham kisī dil meñ sahī ġham ko miTānā hogā
kāñpte hoñToñ pe paimān-e-vafā kyā kahnā
tujh ko laa.ī hai kahāñ laġhzish-e-pā kyā kahnā
mere ghar meñ tire mukhḌe kī ziyā kyā kahnā
aaj har ghar kā diyā mujh ko jalānā hogā
ruuh chehroñ pe dhuāñ dekh ke sharmātī hai
jheñpī jheñpī sī mire lab pe hañsī aatī hai
tere milne kī ḳhushī dard banī jaatī hai
ham ko hañsnā hai to auroñ ko hañsānā hogā
soī soī huī ā.ankhoñ meñ chhalakte hue jaam
khoī khoī huī nazroñ meñ mohabbat kā payām
lab shīrīñ pe mirī tishna-labī kā in.aam
jaane in.aam milegā ki churānā hogā
merī gardan meñ tirī sandalī bāhoñ kā ye haar
abhī aañsū the in ā.ankhoñ meñ abhī itnā ḳhumār
maiñ na kahtā thā mire ghar meñ bhī aa.egī bahār
shart itnī thī ki pahle tujhe aanā hogā
pyar ka jashn nai tarah manana hoga
gham kisi dil mein sahi gham ko miTana hoga
kanpte honTon pe paiman-e-wafa kya kahna
tujh ko lai hai kahan laghzish-e-pa kya kahna
mere ghar mein tere mukhDe ki ziya kya kahna
aaj har ghar ka diya mujh ko jalana hoga
ruh chehron pe dhuan dekh ke sharmati hai
jhenpi jhenpi si mere lab pe hansi aati hai
tere milne ki KHushi dard bani jati hai
hum ko hansna hai to auron ko hansana hoga
soi soi hui aaankhon mein chhalakte hue jam
khoi khoi hui nazron mein mohabbat ka payam
lab shirin pe meri tishna-labi ka inam
jaane inam milega ki churana hoga
meri gardan mein teri sandali bahon ka ye haar
abhi aansu the in aaankhon mein abhi itna KHumar
main na kahta tha mere ghar mein bhi aaegi bahaar
shart itni thi ki pahle tujhe aana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.