pyar ka sangam
ye vo gulshan hai jis meñ phuul khilte haiñ ahinsā ke
isī kī god ne pur-amn insānoñ ko paalā hai
ye vo dhartī hai jis meñ vīrtā parvān chaḌhtī hai
isī kī god ne vīroñ ko balvānoñ ko paalā hai
isī kī kokh ne paidā kiyā hai un javānoñ ko
jo apnī aan apne bāñkpan kī laaj rakhte haiñ
vatan kī aabrū par gar zarā bhī aañch aatī hai
to apnī jaan de kar ye vatan kī laaj rakhte haiñ
yahāñ kā zarra zarra chāñd aur sūraj se baḌh kar hai
mubārakbād do is mātr-bhūmi ke ujāloñ ko
yahāñ se ektā kā pyaar kā paiġhām miltā hai
mubārakbād do in masjidoñ ko in shivāloñ ko
lagāo aaj apne desh kī miTTī ke jai-kāre
lagāo aaj is dhartī kī zindabād ke na.are
ye wo gulshan hai jis mein phul khilte hain ahinsa ke
isi ki god ne pur-amn insanon ko pala hai
ye wo dharti hai jis mein wirta parwan chaDhti hai
isi ki god ne wiron ko balwanon ko pala hai
isi ki kokh ne paida kiya hai un jawanon ko
jo apni aan apne bankpan ki laj rakhte hain
watan ki aabru par gar zara bhi aanch aati hai
to apni jaan de kar ye watan ki laj rakhte hain
yahan ka zarra zarra chand aur suraj se baDh kar hai
mubarakbaad do is matr-bhumi ke ujalon ko
yahan se ekta ka pyar ka paigham milta hai
mubarakbaad do in masjidon ko in shiwalon ko
lagao aaj apne desh ki miTTi ke jai-kare
lagao aaj is dharti ki zindabaad ke nare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.