pyar karte raho
sab ki sunte raho
pyaar karte raho
aur kuchh na kaho
chāhe boleñ na vo
lab ko kholeñ na vo
dil alag baat hai
apne lahja meñ bhī
pyaar gholeñ na vo
apnā jo farz hai
is tarah ho adā
jaise ek qarz hai
koī jo kuchh kahe
us ki sunte raho
pyaar karte raho
or kuch na kaho
be-ḳhayālī meñ hī
lab agar khul jaa.eñ
aur zabāñ par kabhī
koī sach aa gayā
yuuñ samajh luuñ ki phir
silsile jitne the
darmiyāñ jo bhī thā
ḳhvāb dekhe the jo
sab bikher jā.eñge
aisā karnā nahīñ
sab kī sunñā magar
tum bikharnā nahīñ
masle sab ke sab
haiñ safed-o-siyāh
mas.aloñ maiñ kabhī
rañg bharnā nahīñ
dil meñ gar pyaar ho
lab pe iqrār ho
pyaar hī pyaar bus
harf-e-iz.hār ho
gar anā ye kahe
dil na mil pā.eñge
is pe mat jā.iye
khoTī he ye anā
is se kuchh na banā
dil kī bāteñ suno
fāsle se sahīh
pyaar karte raho
aur kuchh na kaho
rasta ek hai
mudda.ā ek hai
ik hamārī hai kyā
saarī duniyā kā hī
silsila ek hai
ek aa.e the ham
ek aa.e the tum
ek hai ye safar
bhiiḌ kitnī bhī ho
apnī apnī jagah
har koī ek hai
naam haiñ go judā
par ḳhudā ek hai
bus ḳhudā kī tarah
sab kī sunte raho
pyaar karte raho
aur kuchh na kaho
kahne sunñe se to
kuchh badaltā nahīñ
raat jaatī nahīñ
din Thahartā nahīñ
hone vaalā hai kyā
kuchh bhī khultā nahīñ
vaqt kam hai bahut
itne kam vaqt meñ
jis qadar kar sako
pyaar karte raho
aur kuchh na kaho
sab ki sunte raho
pyar karte raho
aur kuchh na kaho
chahe bolen na wo
lab ko kholen na wo
dil alag baat hai
apne lahja mein bhi
pyar gholen na wo
apna jo farz hai
is tarah ho ada
jaise ek qarz hai
koi jo kuchh kahe
us ki sunte raho
pyar karte raho
or kuch na kaho
be-KHayali mein hi
lab agar khul jaen
aur zaban par kabhi
koi sach aa gaya
yun samajh lun ki phir
silsile jitne the
darmiyan jo bhi tha
KHwab dekhe the jo
sab bikher jaenge
aisa karna nahin
sab ki sunna magar
tum bikharna nahin
masle sab ke sab
hain safed-o-siyah
masalon main kabhi
rang bharna nahin
dil mein gar pyar ho
lab pe iqrar ho
pyar hi pyar bus
harf-e-izhaar ho
gar ana ye kahe
dil na mil paenge
is pe mat jaiye
khoTi he ye ana
is se kuchh na bana
dil ki baaten suno
fasle se sahih
pyar karte raho
aur kuchh na kaho
rasta ek hai
muddaa ek hai
ek hamari hai kya
sari duniya ka hi
silsila ek hai
ek aae the hum
ek aae the tum
ek hai ye safar
bhiD kitni bhi ho
apni apni jagah
har koi ek hai
nam hain go juda
par KHuda ek hai
bus KHuda ki tarah
sab ki sunte raho
pyar karte raho
aur kuchh na kaho
kahne sunne se to
kuchh badalta nahin
raat jati nahin
din Thaharta nahin
hone wala hai kya
kuchh bhi khulta nahin
waqt kam hai bahut
itne kam waqt mein
jis qadar kar sako
pyar karte raho
aur kuchh na kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.