pyar
kuchh kahte kahte rah jaanā
aur rukte rukte kah jaanā
ye pyaar to aisā hotā hai
jo dil meñ dard samotā hai
ab bhīgī bhīgī shāmoñ meñ
ik chehra har pal āñkhoñ meñ
hañstā bhī hai rotā bhī hai
dil meñ dard Dubotā bhī hai
ki ik ehsās miTāne ko
ki dil meñ dard basāne ko
har dhaḌkan meñ har āñgan meñ
ki chhanke haath ke kañgan meñ
ye rang nazar bas aatā hai
aisā aksar ho jaatā hai
dil kā daaġh anokhā hai
'ḳhānam' ye sab to dhokā hai
kuchh kahte kahte rah jaana
aur rukte rukte kah jaana
ye pyar to aisa hota hai
jo dil mein dard samota hai
ab bhigi bhigi shamon mein
ek chehra har pal aankhon mein
hansta bhi hai rota bhi hai
dil mein dard Dubota bhi hai
ki ek ehsas miTane ko
ki dil mein dard basane ko
har dhaDkan mein har aangan mein
ki chhanke hath ke kangan mein
ye rang nazar bas aata hai
aisa aksar ho jata hai
dil ka dagh anokha hai
'KHanam' ye sab to dhoka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.