pyar kya hai
pyaar insān kī zarūrat hai
duur dil se kare kudūrat hai
pyaar ulfat vafā muravvat hai
pyaar hamdardī-o-uḳhuvvat hai
pyaar kī chaah har bashar ko hai
justujū us kī har nazar ko hai
būḌhe bachche javān yā bīmār
har-nafas kī talab banā hai pyaar
pyaar kuchh is qadar zarūrī hai
zindagī pyaar bin adhūrī hai
pyaar hai do diloñ kā mel nahīñ
buz-diloñ ke ye bas kā khel nahīñ
pyaar to āsmāñ kī vus.at hai
pyaar saare jahāñ kī rif.at hai
pyaar kī mehrbāniyoñ ke tale
ūñche ūñche pahāḌ bhī haiñ khaḌe
pyaar dariyāoñ kī ravānī hai
pyaar ik an-kahī kahānī hai
pyaar ik be-bahā ḳhazāna hai
ye haqīqat hai kab fasāna hai
pyaar chūḌī kī har khanak meñ hai
pyaar ghuñghrū kī har jhanak meñ hai
pyaar naarī kī maañg kī bindī
pyaar urdu zabāñ hai aur hindī
pyaar chanchal javāñ hasīñ rāteñ
pyaar ma.asūm-o-shoḳh-tar bāteñ
pyaar andhe kī aañkh kī jyotī
pyaar nirbal ke haath kā motī
pyar insan ki zarurat hai
dur dil se kare kudurat hai
pyar ulfat wafa murawwat hai
pyar hamdardi-o-uKHuwwat hai
pyar ki chah har bashar ko hai
justuju us ki har nazar ko hai
buDhe bachche jawan ya bimar
har-nafas ki talab bana hai pyar
pyar kuchh is qadar zaruri hai
zindagi pyar bin adhuri hai
pyar hai do dilon ka mel nahin
buz-dilon ke ye bas ka khel nahin
pyar to aasman ki wusat hai
pyar sare jahan ki rifat hai
pyar ki mehrbaniyon ke tale
unche unche pahaD bhi hain khaDe
pyar dariyaon ki rawani hai
pyar ek an-kahi kahani hai
pyar ek be-baha KHazana hai
ye haqiqat hai kab fasana hai
pyar chuDi ki har khanak mein hai
pyar ghunghru ki har jhanak mein hai
pyar nari ki mang ki bindi
pyar urdu zaban hai aur hindi
pyar chanchal jawan hasin raaten
pyar masum-o-shoKH-tar baaten
pyar andhe ki aankh ki jyoti
pyar nirbal ke hath ka moti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.