pyara des
des apnā ham ko pyārā kyuuñ na ho
des apnā ham ko pyārā kyuuñ na ho
dil fidā is par hamārā kyuuñ na ho
''hind'' se baḌh kar nahīñ koī zamīn
go jahāñ jannat hī saarā kyuuñ na ho
kahte haiñ jis chiiz ko āb-e-hayāt
phir vo shai gañgā kī dhārā kyuuñ na ho
jis ne phailāyā jahāñ meñ nūr-e-ilm
aañkh kā duniyā kī taarā kyuuñ na ho
kab miTā saktā hai ham ko āsmāñ
go vo dushman hī hamārā kyuuñ na ho
hindū o muslim ko laḌte dekh kar
rañj se dil paarā paarā kyuuñ na ho
ham ne ye maanā kabhī laḌ bhī liye
az-sar-e-nau bhā.ī-chāra kyuuñ na ho
kyuuñ na ho ulfat adāvat kyuuñ rahe
dushmanī kyuuñ ho mudārā kyuuñ na ho
ham haiñ hindostān ke sachche sapūt
des kī ḳhidmat gavārā kyuuñ na ho
des apna hum ko pyara kyun na ho
des apna hum ko pyara kyun na ho
dil fida is par hamara kyun na ho
hind se baDh kar nahin koi zamin
go jahan jannat hi sara kyun na ho
kahte hain jis chiz ko aab-e-hayat
phir wo shai ganga ki dhaara kyun na ho
jis ne phailaya jahan mein nur-e-ilm
aankh ka duniya ki tara kyun na ho
kab miTa sakta hai hum ko aasman
go wo dushman hi hamara kyun na ho
hindu o muslim ko laDte dekh kar
ranj se dil para para kyun na ho
hum ne ye mana kabhi laD bhi liye
az-sar-e-nau bhai-chaara kyun na ho
kyun na ho ulfat adawat kyun rahe
dushmani kyun ho mudara kyun na ho
hum hain hindostan ke sachche saput
des ki KHidmat gawara kyun na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.