pyara pyara ghar apna
vo chain kahāñ apne ghar kā vo baat kahāñ apne ghar kī pyārā pyārā ghar apnā
vo raaj kahāñ apne ghar kā vo raat kahāñ apnī ghar kī āñkhoñ kā taarā ghar apnā
sukh chain agar duniyā meñ hai apne hī ghar meñ miltā hai sukh kā sahārā ghar apnā
dukh-dard kī gar koī davā hī apne hī ghar kī sivā hai dukh kā mudāvā ghar apnā
vo ghar vaalī sundar chaterā ghar kī sevā karne vaalī dil kā dilāsā ghar apnā
ārām hameñ dene vaalī aap musībat bharne vaalī jaan se pyārā ghar apnā
āñkhoñ ke taare lāDle ghar ke sab mil kar ghar sar pe uThāte dūdhoñ nahāyā ghar apnā
hañste-hañsāte rūThte mante sunte kahānī sote-sulāte basā-basāyā ghar apnā
ham par jaan chhiḌakne vaalā vo parvān chaḌhāne vaalā pālne vaalā ghar apnā
vo balvān banāne vaalā vo insān banāne vaalā Dhālne vaalā ghar apnā
vo paak havā apne ghar kī pyaar kī jilā apne ghar kī dil meñ samāyā ghar apnā
īsār-e-vafā apne ghar kā vo dard diyā apne ghar kī ruuh pe chhāyā ghar apnā
jaḌ buniyād vatan kī ghar hai vatan gharoñ kā apne ghar hai apne gharoñ kā ghar apnā
apne ghar pe nisār vatan hai aur vatan ke sadqe ghar hai vatan kā shaidā ghar apnā
vatan kī chāhat apne ghar se vatan kī tāqat apne ghar se vatan kā pyārā ghar apnā
vatan kī daulat apne ghar se vatan kī izzat apne ghar se raaj dulārā ghar apnā
wo chain kahan apne ghar ka wo baat kahan apne ghar ki pyara pyara ghar apna
wo raj kahan apne ghar ka wo raat kahan apni ghar ki aankhon ka tara ghar apna
sukh chain agar duniya mein hai apne hi ghar mein milta hai sukh ka sahaara ghar apna
dukh-dard ki gar koi dawa hi apne hi ghar ki siwa hai dukh ka mudawa ghar apna
wo ghar wali sundar chatera ghar ki sewa karne wali dil ka dilasa ghar apna
aaram hamein dene wali aap musibat bharne wali jaan se pyara ghar apna
aankhon ke tare laDle ghar ke sab mil kar ghar sar pe uThate dudhon nahaya ghar apna
hanste-hansate ruThte mante sunte kahani sote-sulate basa-basaya ghar apna
hum par jaan chhiDakne wala wo parwan chaDhane wala palne wala ghar apna
wo balwan banane wala wo insan banane wala Dhaalne wala ghar apna
wo pak hawa apne ghar ki pyar ki jila apne ghar ki dil mein samaya ghar apna
isar-e-wafa apne ghar ka wo dard diya apne ghar ki ruh pe chhaya ghar apna
jaD buniyaad watan ki ghar hai watan gharon ka apne ghar hai apne gharon ka ghar apna
apne ghar pe nisar watan hai aur watan ke sadqe ghar hai watan ka shaida ghar apna
watan ki chahat apne ghar se watan ki taqat apne ghar se watan ka pyara ghar apna
watan ki daulat apne ghar se watan ki izzat apne ghar se raj dulara ghar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.