pyara watan hamara
niile gagan meñ jaise chāñdī kā ik kabūtar
duniyā kī aarzū hai pyārā vatan hamārā
har baat sīdhī sīdhī giitā kā paaTh jaise
gautam kī guftugū hai pyārā vatan hamārā
ḳhusrav ke giit jis meñ tulsī ke pyāre dohe
ik pyaar kā subū hai pyārā vatan hamārā
ik āftāb-e-tāza dhīre ubhar rahā hai
pūrab kā ḳhūb-rū hai pyārā vatan hamārā
anmol jis ke motī kyā la.al haiñ javāhar
baapū kī justujū hai pyārā vatan hamārā
Darte haiñ kab kisī se Tiipū ke desh vaale
balvān kā lahū hai pyārā vatan hamārā
ka.aba hai ye kalīsā aao tavāf kar leñ
kāshī kī aabrū hai pyārā vatan hamārā
allah rakhe salāmat rang-e-bahār apnā
phūloñ kā rang-o-bū hai pyārā vatan hamārā
nile gagan mein jaise chandi ka ek kabutar
duniya ki aarzu hai pyara watan hamara
har baat sidhi sidhi gita ka paTh jaise
gautam ki guftugu hai pyara watan hamara
KHusraw ke git jis mein tulsi ke pyare dohe
ek pyar ka subu hai pyara watan hamara
ek aaftab-e-taza dhire ubhar raha hai
purab ka KHub-ru hai pyara watan hamara
anmol jis ke moti kya lal hain jawahar
bapu ki justuju hai pyara watan hamara
Darte hain kab kisi se Tipu ke desh wale
balwan ka lahu hai pyara watan hamara
kaba hai ye kalisa aao tawaf kar len
kashi ki aabru hai pyara watan hamara
allah rakhe salamat rang-e-bahaar apna
phulon ka rang-o-bu hai pyara watan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.