Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyare pyare

Aadil Aseer Dehlvi

pyare pyare

Aadil Aseer Dehlvi

MORE BYAadil Aseer Dehlvi

    paḌhnā likhnā sikhā.e

    achchhī raah batā.e

    bad se hameñ bachā.e

    achchhā bachcha banā.e

    bhayyā pyārā pyārā

    ghanTī ḳhuub bajā.e

    basta bhī laTkā.e

    maktab le kar jaa.e

    jaldī se pahuñchā.e

    rickshaw pyārā pyārā

    phūloñ par itrā.e

    ḳhushbū bhī bikhrā.e

    ghar āñgan mahkā.e

    hariyālī bhī laa.e

    gamlā pyārā pyārā

    bhayyā le kar jaa.e

    circus bhī dikhlā.e

    laDDū bhī khilvā.e

    jo chāho mil jaa.e

    mela pyārā pyārā

    jab jab ye lahrā.e

    sab shaan baḌhā.e

    jis ke haath ye aa.e

    aage baḌhtā jaa.e

    jhanDā pyārā pyārā

    tārīkī meñ aa.e

    bistar tak pahuñchā.e

    lorī bhī sunvā.e

    sapne bhī dikhlā.e

    sonā pyārā pyārā

    sab ko maar bhagā.e

    jo dekhe Dar jaa.e

    ulTī shāmat laa.e

    dushman koī aa.e

    DañDā pyārā pyārā

    bārish meñ kaam aa.e

    bāhar le kar jaa.e

    ḳhud to bhīgā jaa.e

    lekin hameñ bachā.e

    chhātā pyārā pyārā

    jagmag ruup dikhā.e

    chandā rījhā jaa.e

    rasta bhī batlā.e

    lekin haath na aa.e

    taarā pyārā pyārā

    tal kar munnā khaa.e

    ḳhāgīna banvā.e

    sālan meñ pak jaa.e

    munnī ko lalchā.e

    anDā pyārā pyārā

    jab ye mausam aa.e

    sehat ḳhuub banā.e

    Dheroñ kapḌe laa.e

    phir bhī duur na jaa.e

    jaaḌā pyārā pyārā

    khānā jab bhī aa.e

    aage baḌh kar laa.e

    ham ko sab khilvā.e

    ḳhud bhūkā rah jaa.e

    chamcha pyārā pyārā

    bāzāroñ meñ nikle

    haath meñ sab ke laTke

    jo kuchh bhī ye dekhe

    apne peT meñ rakhe

    thailā pyārā pyārā

    mīThā mīThā khaao

    munnā bole laao

    jaldī se pakvāo

    saarā chaT kar jaao

    halva pyārā pyārā

    chāhe koī bulā.e

    sab god meñ jaa.e

    dekhe to lalchā.e

    toffē biscuit chaa.e

    nanhā pyārā pyārā

    paanī ThanDā kar de

    sar pe kaTorā rakhe

    dauḌe aa.eñ pyāre

    jo chāhe vo le

    maTkā pyārā pyārā

    sūrat rañg birañgī

    hālat bhī hai achchhī

    bistar hai sāthī

    aadat meñ hai narmī

    takiya pyārā pyārā

    garmī duur bhagā.e

    ThanDā mausam laa.e

    thoḌī bijlī khaa.e

    behtar kaam banā.e

    pañkhā pyārā pyārā

    cham cham chamkā jaa.e

    bijlī lahrā.e

    jaldī jaldī aa.e

    saath meñ chaltā jaa.e

    juutā pyārā pyārā

    sab se pahle jaage

    peḌ pe chaḌh ke baiThe

    dīvāroñ par bhāge

    kūkḌūñ kūkḌūñ chīḳhe

    murġhā pyārā pyārā

    ghar meñ dauḌ lagā.e

    bāhar bhaag ke jaa.e

    billī par ġhurrā.e

    nanhe ko bahlā.e

    kuttā pyārā pyārā

    piiTh pe hameñ biThā.e

    sarpaT dauḌ ke jaa.e

    manzil par pahuñchā.e

    tab kar sustā.e

    ghoḌā pyārā pyārā

    jaldī se uTh jaa.e

    chīḳhe aur chillā.e

    daana patte khaa.e

    phir bhūkā rah jaa.e

    bakrā pyārā pyārā

    pinjre meñ par tole

    Thumak Thumak kar Dole

    jab bhī muñh ko khole

    mīThī bolī bole

    totā piyāre pyārā

    ruī ko lipTā.e

    dhāgā bantā jaa.e

    hāthoñ meñ bal khaa.e

    bal khā kar lahrā.e

    taklā pyārā pyārā

    choroñ se laḌ jaa.e

    Daaku se Takrā.e

    jo bhī chābī laa.e

    us ke bas meñ aa.e

    taalā pyārā pyārā

    saḌkeñ bhī dikhlā.e

    galiyoñ meñ le jaa.e

    kaun kidhar ko jaa.e

    bhed ye sab batlā.e

    naqsha pyārā pyārā

    kaliyoñ par manD laa.e

    phūloñ se batlā.e

    nāche jhūme gaa.e

    mastī meñ lahrā.e

    bhauñrā pyārā pyārā

    shab ko muñh dikhlā.e

    sūraj se sharmā.e

    bādal meñ chhup jaa.e

    raat hote aa.e

    chandā pyārā pyārā

    jhiil ke paas baiThe

    chhoTī machhlī pakḌe

    hans ho koī jaise

    motī khāne aa.e

    bagulā pyārā pyārā

    āñkhoñ se lag jaa.e

    rāhat pahuñchā.e

    kaale kaale shīshe

    abr ke TukḌoñ jaise

    chashma pyārā pyārā

    merā hamdam sāthī

    aisā na hogā koī

    sūrat bhī hai pyārī

    sīrat bhī hai achchhī

    basta pyārā pyārā

    vaqt pe so kar uThe

    vaqt pe apne khele

    vaqt pe paḌhne jaa.e

    avval number aa.e

    bachcha pyārā pyārā

    paDhna likhna sikhae

    achchhi rah batae

    bad se hamein bachae

    achchha bachcha banae

    bhayya pyara pyara

    ghanTi KHub bajae

    basta bhi laTkae

    maktab le kar jae

    jaldi se pahunchae

    rickshaw pyara pyara

    phulon par itrae

    KHushbu bhi bikhrae

    ghar aangan mahkae

    hariyali bhi lae

    gamla pyara pyara

    bhayya le kar jae

    circus bhi dikhlae

    laDDu bhi khilwae

    jo chaho mil jae

    mela pyara pyara

    jab jab ye lahrae

    sab ki shan baDhae

    jis ke hath ye aae

    aage baDhta jae

    jhanDa pyara pyara

    tariki mein aae

    bistar tak pahunchae

    lori bhi sunwae

    sapne bhi dikhlae

    sona pyara pyara

    sab ko mar bhagae

    jo dekhe Dar jae

    ulTi shamat lae

    dushman koi aae

    DanDa pyara pyara

    barish mein kaam aae

    bahar le kar jae

    KHud to bhiga jae

    lekin hamein bachae

    chhata pyara pyara

    jagmag rup dikhae

    chanda rijha jae

    rasta bhi batlae

    lekin hath na aae

    tara pyara pyara

    tal kar munna khae

    KHagina banwae

    salan mein pak jae

    munni ko lalchae

    anDa pyara pyara

    jab ye mausam aae

    sehat KHub banae

    Dheron kapDe lae

    phir bhi dur na jae

    jaDa pyara pyara

    khana jab bhi aae

    aage baDh kar lae

    hum ko sab khilwae

    KHud bhuka rah jae

    chamcha pyara pyara

    bazaron mein nikle

    hath mein sab ke laTke

    jo kuchh bhi ye dekhe

    apne peT mein rakhe

    thaila pyara pyara

    miTha miTha khao

    munna bole lao

    jaldi se pakwao

    sara chaT kar jao

    halwa pyara pyara

    chahe koi bulae

    sab ki god mein jae

    dekhe to lalchae

    toffee biscuit chae

    nanha pyara pyara

    pani ThanDa kar de

    sar pe kaTora rakhe

    dauDe aaen pyare

    jo chahe wo pi le

    maTka pyara pyara

    surat rang birangi

    haalat bhi hai achchhi

    bistar ka hai sathi

    aadat mein hai narmi

    takiya pyara pyara

    garmi dur bhagae

    ThanDa mausam lae

    thoDi bijli khae

    behtar kaam banae

    pankha pyara pyara

    cham cham chamka jae

    bijli sa lahrae

    jaldi jaldi aae

    sath mein chalta jae

    juta pyara pyara

    sab se pahle jage

    peD pe chaDh ke baiThe

    diwaron par bhage

    kukDun kukDun chiKHe

    murgha pyara pyara

    ghar mein dauD lagae

    bahar bhag ke jae

    billi par ghurrae

    nanhe ko bahlae

    kutta pyara pyara

    piTh pe hamein biThae

    sarpaT dauD ke jae

    manzil par pahunchae

    tab ja kar sustae

    ghoDa pyara pyara

    jaldi se uTh jae

    chiKHe aur chillae

    dana patte khae

    phir bhuka rah jae

    bakra pyara pyara

    pinjre mein par tole

    Thumak Thumak kar Dole

    jab bhi munh ko khole

    miThi boli bole

    tota piyare pyara

    rui ko lipTae

    dhaga banta jae

    hathon mein bal khae

    bal kha kar lahrae

    takla pyara pyara

    choron se laD jae

    Daku se Takrae

    jo bhi chabi lae

    us ke bas mein aae

    tala pyara pyara

    saDken bhi dikhlae

    galiyon mein le jae

    kaun kidhar ko jae

    bhed ye sab batlae

    naqsha pyara pyara

    kaliyon par manD lae

    phulon se batlae

    nache jhume gae

    masti mein lahrae

    bhaunra pyara pyara

    shab ko munh dikhlae

    suraj se sharmae

    baadal mein chhup jae

    raat hote hi aae

    chanda pyara pyara

    jhil ke pas hi baiThe

    chhoTi machhli pakDe

    hans ho koi jaise

    moti khane aae

    bagula pyara pyara

    aankhon se lag jae

    rahat hi pahunchae

    kale kale shishe

    abr ke TukDon jaise

    chashma pyara pyara

    mera hamdam sathi

    aisa na hoga koi

    surat bhi hai pyari

    sirat bhi hai achchhi

    basta pyara pyara

    waqt pe so kar uThe

    waqt pe apne khele

    waqt pe paDhne jae

    awwal number aae

    bachcha pyara pyara

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now