pyare watan
ai mire pyāre vatan
mere mahbūb vatan
terī miTTī se numū pā kar maiñ
jab bhī sarsabz hone lagtā huuñ
kyoñ mirā ḳhuuñ nichoḌ letā hai
jab kabhī chaar tinke chun kar maiñ
āshiyāna banāne lagtā huuñ
bijliyāñ kyoñ chamakne lagtī haiñ
kis liye apnī sha-rāhoñ par
tū mujhe sangsār kartā hai
kyoñ mujhe sharmsār kartā hai
merī taqsīr kyā hai kuchh to batā
kyoñ mujhe bevafā samajhtā hai
ai mere pyare watan
mere mahbub watan
teri miTTi se numu pa kar main
jab bhi sarsabz hone lagta hun
kyon mera KHun nichoD leta hai
jab kabhi chaar tinke chun kar main
aashiyana banane lagta hun
bijliyan kyon chamakne lagti hain
kis liye apni sha-rahon par
tu mujhe sangsar karta hai
kyon mujhe sharmsar karta hai
meri taqsir kya hai kuchh to bata
kyon mujhe bewafa samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.