pyas
sach hai pyāsī huuñ maiñ
behad pyāsī
lekin tum se kis ne kahā
ki tum merī pyaas bujhāo
kahīñ ziyāda ḳhālī ho tum
mujh se kahīñ ziyāda rete
aur tumheñ ehsās tak nahīñ
bharnā chāhte ho tum
apnā ḳhālī-pan
merī pyaas bujhāne ke naam par
ta.ajjub hai
mujhe mukammal banānā chāhtā hai
ek aadhā
adhūrā insān
sach hai pyasi hun main
behad pyasi
lekin tum se kis ne kaha
ki tum meri pyas bujhao
kahin ziyaada KHali ho tum
mujh se kahin ziyaada rete
aur tumhein ehsas tak nahin
bharna chahte ho tum
apna KHali-pan
meri pyas bujhane ke nam par
tajjub hai
mujhe mukammal banana chahta hai
ek aadha
adhura insan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.