pyas
duur se chal ke aayā thā maiñ nañge paañv nañge sar
sar meñ gard zabāñ meñ kāTne paañv meñ chhāle hosh the gum
itnā pyāsā thā maiñ us din jitnā chaah kā maarā ho
chaah kā maarā vo bhī aisā jis ne chaah na dekhī ho
itne meñ kyā dekhā maiñ ne ek kuaañ hai suthrā sā
jis kī man hai pakkī ūñchī jis par chhāñv hai peḌoñ kī
chaḌh kar man par jhāñkā maiñ ne josh-e-talab kī mastī meñ
kitnā gahrā itnā gahrā jitnī hijr kī pahlī raat
kaisā andhā aisā andhā jaisī qabr kī pahlī raat
kañkar le ke pheñkā tah meñ
paanī kī āvāz na aa.ī
us kā dil bhī ḳhālī thā
dur se chal ke aaya tha main nange panw nange sar
sar mein gard zaban mein kaTne panw mein chhaale hosh the gum
itna pyasa tha main us din jitna chah ka mara ho
chah ka mara wo bhi aisa jis ne chah na dekhi ho
itne mein kya dekha main ne ek kuan hai suthra sa
jis ki man hai pakki unchi jis par chhanw hai peDon ki
chaDh kar man par jhanka main ne josh-e-talab ki masti mein
kitna gahra itna gahra jitni hijr ki pahli raat
kaisa andha aisa andha jaisi qabr ki pahli raat
kankar le ke phenka tah mein
pani ki aawaz na aai
us ka dil bhi KHali tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.