pyas ki aag
maiñ ki huuñ pyaas ke dariyā kī taḌaptī huī mauj
pī chukā huuñ maiñ samundar kā samundar phir bhī
ek ik qatra-e-shabnam ko taras jaatā huuñ
qatra-e-shabnam-e-ashk
qatra-e-shabnam-e-dil ḳhūn-e-jigar
qatra-e-nīm-nazar
yā mulāqāt ke lamhoñ ke sunahrī qatre
jo nigāhoñ kī harārat se Tapak paḌte haiñ
aur phir lams ke nuur
aur phir baat kī ḳhushbū meñ badal jaate haiñ
mujh ko ye qatra-e-shādāb bhī chakh lene do
dil meñ ye gauhar-e-nāyāb bhī rakh lene do
ḳhushk haiñ hoñT mire ḳhushk zabāñ hai merī
ḳhushk hai dard kaa, naġhme kā gulū
maiñ agar pī na sakā vaqt kā ye āb-e-hayāt
pyaas kī aag meñ Dartā huuñ ki jal jā.uñgā
main ki hun pyas ke dariya ki taDapti hui mauj
pi chuka hun main samundar ka samundar phir bhi
ek ek qatra-e-shabnam ko taras jata hun
qatra-e-shabnam-e-ashk
qatra-e-shabnam-e-dil KHun-e-jigar
qatra-e-nim-nazar
ya mulaqat ke lamhon ke sunahri qatre
jo nigahon ki hararat se Tapak paDte hain
aur phir lams ke nur
aur phir baat ki KHushbu mein badal jate hain
mujh ko ye qatra-e-shadab bhi chakh lene do
dil mein ye gauhar-e-nayab bhi rakh lene do
KHushk hain honT mere KHushk zaban hai meri
KHushk hai dard ka, naghme ka gulu
main agar pi na saka waqt ka ye aab-e-hayat
pyas ki aag mein Darta hun ki jal jaunga
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.