pyason ka rishta
kuñ.eñ ke tale meñ
koī pheñke patthar
to mumkin hai chiñgāriyāñ phuuT nikleñ
nadī suukh jaa.e
havāoñ se bajne lage jhiil tal kī
khanaktī huī ḳhushk miTTī
magar
samundar kabhī ḳhushk hotā nahīñ
samundar ko be-āb hote
abhī tak to dekhā nahīñ
magar ye bhī sach hai
agar bādaloñ kī visātat na ho
samundar se pyāsoñ kā rishta juḌtā nahīñ
kunen ke tale mein
koi phenke patthar
to mumkin hai chingariyan phuT niklen
nadi sukh jae
hawaon se bajne lage jhil tal ki
khanakti hui KHushk miTTi
magar
samundar kabhi KHushk hota nahin
samundar ko be-ab hote
abhi tak to dekha nahin
magar ye bhi sach hai
agar baadalon ki wisatat na ho
samundar se pyason ka rishta juDta nahin
- Book : siip-volume-35 (Pg. 135)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.