qalin
ye maanā bahut ḳhūbsūrat hai lekin
ye qālīn phir bhī na maiñ le sakūñgā
bahut narm hai aur jāzib-nazar bhī
ki nāzuk se phūloñ ne is ko bunā ho
zarā is ke in surḳh rangoñ ko dekho
ki gāloñ kī surḳhī ho jaise nichoḌī
ye golā.ī ye naqsh aur zāviye sab
bahut narm hāthoñ se jaise bune hoñ
ye is ke kināroñ kī rangīn jhālar
ki ma.asūm ḳhvāboñ kī koī laḌī ho
zarā is mahārat kā aalam to dekho
sabhī rang yakjā haiñ phir bhī judā haiñ
bahut hī munāsib hai qīmat bhī is kī
ye qālīn phir bhī na maiñ le sakūñgā
maiñ ma.asūm bachchoñ kā qātil nahīñ huuñ
ye mana bahut KHubsurat hai lekin
ye qalin phir bhi na main le sakunga
bahut narm hai aur jazib-nazar bhi
ki nazuk se phulon ne is ko buna ho
zara is ke in surKH rangon ko dekho
ki galon ki surKHi ho jaise nichoDi
ye golai ye naqsh aur zawiye sab
bahut narm hathon se jaise bune hon
ye is ke kinaron ki rangin jhaalar
ki masum KHwabon ki koi laDi ho
zara is mahaarat ka aalam to dekho
sabhi rang yakja hain phir bhi juda hain
bahut hi munasib hai qimat bhi is ki
ye qalin phir bhi na main le sakunga
main masum bachchon ka qatil nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.