qanun-e-qudrat
jab bhī is mulk pe aafat kī ghaḌī aa.ī hai
āzmā.ish koī jis vaqt kaḌī aa.ī hai
jab hameñ an-ginat āfāt se Dar lagtā ho
aur bigḌe hue hālāt se Dar lagtā ho
ġham-o-ālām kī pur-haul ghaTā chhā jaa.e
sar pe mañDlāte hoñ ḳhatrāt ke gahre saa.e
jab ghaTā-Top añdhere meñ qadam chal na sakeñ
aur jab jāda-e-pur-ḳhār pe ham chal na sakeñ
duur tak jab kahīñ manzil kā patā bhī na mile
ham-safar bhī na mile rāh-numā bhī na mile
kuchh añdhere meñ sujhā.ī na kahīñ detā ho
haath par haath dikhā.ī na kahīñ detā ho
qāfila qaum kā jis vaqt bhaTak jaatā ho
aur pur-haul añdheroñ meñ aTak jaatā ho
qāfile vāloñ ke qadmoñ kī sadā bhī gum ho
ek sannāTā ho aur bāñg-e-darā bhī gum ho
ādamiyat se agar apnā yaqīñ uTh jaa.e
aur nairañgi-e-hālāt pe dil tharrā.e
guñg jazbāt ko jis vaqt zabāñ bhī na mile
nāla-e-dil ko koī tarz-e-fuġhāñ bhī na mile
ruuh meñ karb ho betābi-o-be-zārī ho
aur māhaul pe dahshat sī ajab taarī ho
zahr-e-ġham qaum kī rag rag meñ asar kar jaa.e
be-hisī zehn meñ har shaḳhs ke ghar kar jaa.e
al-ġharaz zindagī-e-qaum meñ aa jaa.e jumūd
aur paḌ jaa.e jab is mulk kā ḳhatre meñ vajūd
ain us vaqt koī rāh-numā aatā hai
aa ke bigḌe hue hālāt banā jaatā hai
jab bhi is mulk pe aafat ki ghaDi aai hai
aazmaish koi jis waqt kaDi aai hai
jab hamein an-ginat aafat se Dar lagta ho
aur bigDe hue haalat se Dar lagta ho
gham-o-alam ki pur-haul ghaTa chha jae
sar pe manDlate hon KHatraat ke gahre sae
jab ghaTa-Top andhere mein qadam chal na saken
aur jab jada-e-pur-KHar pe hum chal na saken
dur tak jab kahin manzil ka pata bhi na mile
ham-safar bhi na mile rah-numa bhi na mile
kuchh andhere mein sujhai na kahin deta ho
hath par hath dikhai na kahin deta ho
qafila qaum ka jis waqt bhaTak jata ho
aur pur-haul andheron mein aTak jata ho
qafile walon ke qadmon ki sada bhi gum ho
ek sannaTa ho aur bang-e-dara bhi gum ho
aadamiyat se agar apna yaqin uTh jae
aur nairangi-e-haalat pe dil tharrae
gung jazbaat ko jis waqt zaban bhi na mile
nala-e-dil ko koi tarz-e-fughan bhi na mile
ruh mein karb ho betabi-o-be-zari ho
aur mahaul pe dahshat si ajab tari ho
zahr-e-gham qaum ki rag rag mein asar kar jae
be-hisi zehn mein har shaKHs ke ghar kar jae
al-gharaz zindagi-e-qaum mein aa jae jumud
aur paD jae jab is mulk ka KHatre mein wajud
ain us waqt koi rah-numa aata hai
aa ke bigDe hue haalat bana jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.