qabristan ke nal par
bilā sabab baḌbaḌā rahe ho
jo phañs ga.e ho
to kam-se-kam ab savāb hī Dhang se kamā lo
kahā thā maiñ ne
ki nal chalāne meñ koī sājhā nahīñ karegā
magar kisī kī sunī hai tum ne
are vo hālāt aur the
jis meñ har koī
har qadam pe kāñdhā badal rahā thā
par ab to tadfīn ho chukī
bhiiḌ mutma.in hai
ki aaj bhar kā savāb us ne kamā liyā hai
to kaun aage baḌhegā bolo
so kaun kitnā burā hai ye baat bhuul kar
sirf nal chalāo
chalā.e jaao
ki jab talak bhiiḌ meñ har ik ḳhās-o-'ām ke
paañv dhul na jaa.eñ
bila sabab baDbaDa rahe ho
jo phans gae ho
to kam-se-kam ab sawab hi Dhang se kama lo
kaha tha main ne
ki nal chalane mein koi sajha nahin karega
magar kisi ki suni hai tum ne
are wo haalat aur the
jis mein har koi
har qadam pe kandha badal raha tha
par ab to tadfin ho chuki
bhiD mutmain hai
ki aaj bhar ka sawab us ne kama liya hai
to kaun aage baDhega bolo
so kaun kitna bura hai ye baat bhul kar
sirf nal chalao
chalae jao
ki jab talak bhiD mein har ek KHas-o-'am ke
panw dhul na jaen
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 134)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.