qadamat-e-mohabbat
mahaktī thī fazā pur-kaif manzar thā bahāroñ kā
simaT kar aa gayā thā nuur zarroñ meñ sitāroñ kā
fazāoñ meñ tarannum thā parinde chahchahāte the
havā ke sard jhoñke be-ḳhudī kā giit gaate the
vo rut aamoñ kī sāvan kā mahīna shaam bhīgī sī
chaman meñ motiyoñ se pur thī jholī ġhuncha-o-gul kī
surūr-o-kaif meñ khoyā huā thā dil-kushā manzar
masarrat-āfrīñ thā sar-ba-sar barsāt kā manzar
achānak us ko aise vaqt pahlī baar dekhā thā
ḳhudā ma.alūm kyā jaadū bharā vo husn-e-rā.anā thā
bichhī jaatī thī mausam kī nazākat us ke qadmoñ meñ
machaltī thī bahāroñ kī latāfat us ke qadmoñ meñ
usī ke dam se saarā gulsitāñ firdaus-manzar thā
chaman meñ inhisār-e-mausam-e-gul tak usī par thā
dil āñkhoñ se ye kahtā thā nigāh-e-ġhaur se dekho
kahīñ is ruup meñ doshīza-e-fitrat na aa.ī ho
utar aaya na har farsh-e-zamīñ par chāñd kā TukḌā
koī bhaTkā huā jalva na ho gulzār-e-jannat kā
surayyā kā koī partav na ham-āġhosh-e-fitrat ho
koī anjum na bhūle se ziyā-bar-dosh-e-fitrat ho
vo jalva jis ko ḳhud ra.anā.ī-e-fitrat pe pyaar aa.e
vo jis ke ḳhair-maqdam ko do-ālam kī bahār aa.e
vo qudrat thī ḳhudā kī jis pe ḳhud qudrat tasadduq thī
vo barakat thī yaqīnan jis pe har barakat tasadduq thī
vo sūrat thī jise nūr-e-ḳhudā shān-e-ḳhudā kahiye
jise taskīn dil kaa.e nazar kā mudda.ā kahiye
tamanna thī ki us ko dekh kar bas dekhte jaa.eñ
sharāb-e-be-ḳhudī pī kar na apne aap meñ aa.eñ
usī kā rang thā gul meñ kalī meñ ruup us kā thā
na husn-e-dilrubā aisā sunā hī thā na dekhā thā
vo ik muñh boltī tasvīr thī husn-o-nazākat kī
ḳhud āñkheñ ban ke jalva dekhne kī dil ko hasrat thī
kise is kī ḳhabar thī pyaar ban jā.egī ye hasrat
kise ma.alūm thā āzār ban jā.egī ye hasrat
'rishī' kis ko pata thā aañkh mil kar dil bhī aTkegā
bil-āḳhir ḳhār-e-ulfat umr-bhar siine meñ khaTkegā
mahakti thi faza pur-kaif manzar tha bahaaron ka
simaT kar aa gaya tha nur zarron mein sitaron ka
fazaon mein tarannum tha parinde chahchahate the
hawa ke sard jhonke be-KHudi ka git gate the
wo rut aamon ki sawan ka mahina sham bhigi si
chaman mein motiyon se pur thi jholi ghuncha-o-gul ki
surur-o-kaif mein khoya hua tha dil-kusha manzar
masarrat-afrin tha sar-ba-sar barsat ka manzar
achanak us ko aise waqt pahli bar dekha tha
KHuda malum kya jadu bhara wo husn-e-raana tha
bichhi jati thi mausam ki nazakat us ke qadmon mein
machalti thi bahaaron ki latafat us ke qadmon mein
usi ke dam se sara gulsitan firdaus-manzar tha
chaman mein inhisar-e-mausam-e-gul tak usi par tha
dil aankhon se ye kahta tha nigah-e-ghaur se dekho
kahin is rup mein doshiza-e-fitrat na aai ho
utar aaya na har farsh-e-zamin par chand ka TukDa
koi bhaTka hua jalwa na ho gulzar-e-jannat ka
surayya ka koi partaw na ham-aghosh-e-fitrat ho
koi anjum na bhule se ziya-bar-dosh-e-fitrat ho
wo jalwa jis ko KHud ranai-e-fitrat pe pyar aae
wo jis ke KHair-maqdam ko do-alam ki bahaar aae
wo qudrat thi KHuda ki jis pe KHud qudrat tasadduq thi
wo barakat thi yaqinan jis pe har barakat tasadduq thi
wo surat thi jise nur-e-KHuda shan-e-KHuda kahiye
jise taskin dil kae nazar ka muddaa kahiye
tamanna thi ki us ko dekh kar bas dekhte jaen
sharab-e-be-KHudi pi kar na apne aap mein aaen
usi ka rang tha gul mein kali mein rup us ka tha
na husn-e-dilruba aisa suna hi tha na dekha tha
wo ek munh bolti taswir thi husn-o-nazakat ki
KHud aankhen ban ke jalwa dekhne ki dil ko hasrat thi
kise is ki KHabar thi pyar ban jaegi ye hasrat
kise malum tha aazar ban jaegi ye hasrat
'rishi' kis ko pata tha aankh mil kar dil bhi aTkega
bil-aKHir KHar-e-ulfat umr-bhar sine mein khaTkega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.