qadam mila ke chalo
qadam milā ke chalo hausla baḌhā ke chalo
diloñ meñ hubb-e-vatan kā diyā jalā ke chalo
vatan kī jaan ho tum aur vatan tumhārā hai
ki bāġhbān ho tum ye chaman tumhārā hai
baḌhāo haath ki har ilm-o-fan tumhārā hai
qadam milā ke chalo hausla baḌhā ke chalo
diloñ meñ hubb-e-vatan kā diyā jalā ke chalo
tumhāre qadmoñ se raushan ho shāhrāh-e-hayat
tumhāre azm se insān paa.e ġham se najāt
misāl-e-ḳhizr-o-masīhā bane tumhārī zaat
qadam milā ke chalo hausla baḌhā ke chalo
diloñ meñ hubb-e-vatan kā diyā jalā ke chalo
jalāo dil ke nagar meñ charāġh-e-ilm-o-yaqīñ
dayār-e-hirs-o-havas meñ na jhukne paa.e jabīñ
tumhāre qadmoñ se ban jaa.e āsmāñ ye zamīñ
qadam milā ke chalo hausla baḌhā ke chalo
diloñ meñ hubb-e-vatan kā diyā jalā ke chalo
kabīr-o-nānak ho chishtī kī yādgār ho tum
jahāñ meñ gāñdhī-o-nehru ke virsa-dār ho tum
zamīñ pe amn-o-mohabbat ke pāsdār ho tum
qadam milā ke chalo hausla baḌhā ke chalo
diloñ meñ hubb-e-vatan kā diyā jalā ke chalo
nizām-o-kākī-o-chishtī kī ruuh apnāo
ḳhudā kā jalva har insāñ ke qalb meñ paao
har ek dil meñ mohabbat kī raushnī laao
qadam milā ke chalo hausla baḌhā ke chalo
diloñ meñ hubb-e-vatan kā diyā jalā ke chalo
qadam mila ke chalo hausla baDha ke chalo
dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo
watan ki jaan ho tum aur watan tumhaara hai
ki baghban ho tum ye chaman tumhaara hai
baDhao hath ki har ilm-o-fan tumhaara hai
qadam mila ke chalo hausla baDha ke chalo
dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo
tumhaare qadmon se raushan ho shahrah-e-hayat
tumhaare azm se insan pae gham se najat
misal-e-KHizr-o-masiha bane tumhaari zat
qadam mila ke chalo hausla baDha ke chalo
dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo
jalao dil ke nagar mein charagh-e-ilm-o-yaqin
dayar-e-hirs-o-hawas mein na jhukne pae jabin
tumhaare qadmon se ban jae aasman ye zamin
qadam mila ke chalo hausla baDha ke chalo
dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo
kabir-o-nanak ho chishti ki yaadgar ho tum
jahan mein gandhi-o-nehru ke wirsa-dar ho tum
zamin pe amn-o-mohabbat ke pasdar ho tum
qadam mila ke chalo hausla baDha ke chalo
dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo
nizam-o-kaki-o-chishti ki ruh apnao
KHuda ka jalwa har insan ke qalb mein pao
har ek dil mein mohabbat ki raushni lao
qadam mila ke chalo hausla baDha ke chalo
dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.