qadr-o-qimat
sunā hai resham ke kīḌoñ ne
pattoñ kī hariyālī chāTī
shabnam ke qatroñ kī damak bhī
phūloñ ke rañgoñ ko churāyā
chāñd kī kirnoñ ke lachchhoñ se resham kaatā
aur ik thaan kiyā tayyār jis ko pā lene kī ḳhātir
shīrīñ ne farhād ko bechā
hiir ne hiire
lailā ne zulfoñ kī siyāhī
lekin saudā ho na sakā
ab phūloñ meñ rañg nahīñ hai
shabnam paanī ke qatroñ meñ Duub ga.ī hai
patte patte haiñ lekin be-āb-o-numū
chāñd hai lekin bhiik kā piyāla kirnoñ se mahrūm
sunā hai resham ke kiiḌe ye sochte haiñ
un shahroñ se kuuch kareñ
jin meñ un ke resham kā gāhak hī nahīñ hai
sunā hai shīrīñ hiir aur lailā apne nāmoñ ko badleñge
shāyad yūñhī un ke āshiq phir un ko pahchān sakeñ
suna hai resham ke kiDon ne
patton ki hariyali chaTi
shabnam ke qatron ki damak bhi
phulon ke rangon ko churaya
chand ki kirnon ke lachchhon se resham kata
aur ek than kiya tayyar jis ko pa lene ki KHatir
shirin ne farhad ko becha
hir ne hire
laila ne zulfon ki siyahi
lekin sauda ho na saka
ab phulon mein rang nahin hai
shabnam pani ke qatron mein Dub gai hai
patte patte hain lekin be-ab-o-numu
chand hai lekin bhik ka piyala kirnon se mahrum
suna hai resham ke kiDe ye sochte hain
un shahron se kuch karen
jin mein un ke resham ka gahak hi nahin hai
suna hai shirin hir aur laila apne namon ko badlenge
shayad yunhi un ke aashiq phir un ko pahchan saken
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 355)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.