qahf-ul-qahat
pīr-baḳhsh building se pīr-baḳhsh ke marqad tak
apnī hī baḳhshish kī duāoñ ke karbzār se guzar kar aane vaalī
sar par guzishta maah o saal ke kitne hī thaal uThā.e
aaj bhī ek qabr-e-gum-gashta kā nishāñ aur apne mādūm kal ke liye ḳhitta-e-amāñ
ek saath DhūñD rahī hai
us ke nañge talvoñ se chhūne vaalī tapish kī lahar lahar use apne
khilaunoñ se mahrūm bachpan ke saath saath vo bahāreñ bhī yaad dilā jaatī hai
jab kisī an-dekhe jhoñke se mahak uThne kī ḳhvāhish meñ us ke sapne
pas-e-dīvār murjhā ga.e aur us ke baal chambelī ke phuul bante ga.e
aur phir us kī kalā.iyoñ meñ pahnī huī jhurriyoñ meñ talā.ī chūḌiyoñ
ke aks jhilmilāne lage
abhī abhī ek be-tartīb sāhūkār apne bikhre hue noToñ
ko tartīb dene kā jāñ-gusil farīza sar-anjām dete dete thak gayā
maa.ī maryam ne pahle to noToñ meñ muqayyad zarūratoñ se mulāqāt
kī ek aur koshish kī
aur phir ek nazar āsmān par Daalī jaise vahāñ bhī koī rahtā ho
us kī āñkhoñ se nikalne ke liye be-tāb hasratoñ meñ se
kuchh to un goliyoñ ko bhī bhigo ga.iiñ
jinheñ apne larazte hāthoñ meñ lete hī use yaqīn ho chalā thā
ki aaj raat use koī dard nahīñ satā.egā
aur sub.h ko khāñsī kā daura bhī nahīñ paḌegā
magar kahāñ...
bīmāriyāñ bhī aaj kal apne mizāj meñ bahut be-niyāz ho ga.ī haiñ
pir-baKHsh building se pir-baKHsh ke marqad tak
apni hi baKHshish ki duaon ke karbzar se guzar kar aane wali
sar par guzishta mah o sal ke kitne hi thaal uThae
aaj bhi ek qabr-e-gum-gashta ka nishan aur apne madum kal ke liye KHitta-e-aman
ek sath DhunD rahi hai
us ke nange talwon se chhune wali tapish ki lahar lahar use apne
khilaunon se mahrum bachpan ke sath sath wo bahaaren bhi yaad dila jati hai
jab kisi an-dekhe jhonke se mahak uThne ki KHwahish mein us ke sapne
pas-e-diwar murjha gae aur us ke baal chambeli ke phul bante gae
aur phir us ki kalaiyon mein pahni hui jhurriyon mein talai chuDiyon
ke aks jhilmilane lage
abhi abhi ek be-tartib sahukar apne bikhre hue noTon
ko tartib dene ka jaan-gusil fariza sar-anjam dete dete thak gaya
mai maryam ne pahle to noTon mein muqayyad zaruraton se mulaqat
ki ek aur koshish ki
aur phir ek nazar aasman par Dali jaise wahan bhi koi rahta ho
us ki aankhon se nikalne ke liye be-tab hasraton mein se
kuchh to un goliyon ko bhi bhigo gain
jinhen apne larazte hathon mein lete hi use yaqin ho chala tha
ki aaj raat use koi dard nahin sataega
aur subh ko khansi ka daura bhi nahin paDega
magar kahan
bimariyan bhi aaj kal apne mizaj mein bahut be-niyaz ho gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.