qahqahe
duniyā se kar ke pyaar lagā.eñge qahqahe
ġham par hazār baar lagā.eñge qahqahe
duniyā hañsnegī apnī himāqat pe jab kabhī
ham aur be-shumār lagā.eñge qahqahe
kuchh ġham nahīñ hai ham ko zamāne kā dosto
patjhaḌ ho yā bahār lagā.eñge qahqahe
ghar vaale is maraz se pareshān huuñ to kyā
be-vaj.h baar baar lagā.eñge qahqahe
dekheñge ham latīfoñ bhare ḳhvāb raat bhar
phir sub.h mil ke yaar lagā.eñge qahqahe
kuchh fikr paas fail kī ham ko nahīñ huzūr
huuñ imtihāñ hazār lagā.eñge qahqahe
do din kī zindagī meñ rahe kyoñ udaas dil
jab hoñge be-qarār lagā.eñge qahqahe
daddy lageñge rail kā engine hameñ 'niyāz'
sulgegā jab sigār lagā.eñge qahqahe
duniya se kar ke pyar lagaenge qahqahe
gham par hazar bar lagaenge qahqahe
duniya hansnegi apni himaqat pe jab kabhi
hum aur be-shumar lagaenge qahqahe
kuchh gham nahin hai hum ko zamane ka dosto
patjhaD ho ya bahaar lagaenge qahqahe
ghar wale is maraz se pareshan hun to kya
be-wajh bar bar lagaenge qahqahe
dekhenge hum latifon bhare KHwab raat bhar
phir subh mil ke yar lagaenge qahqahe
kuchh fikr pas fail ki hum ko nahin huzur
hun imtihan hazar lagaenge qahqahe
do din ki zindagi mein rahe kyon udas dil
jab honge be-qarar lagaenge qahqahe
daddy lagenge rail ka engine hamein 'niyaz'
sulgega jab sigar lagaenge qahqahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.