qaht
maiñ apne band kamre meñ paḌā huuñ
ki raushnī bhī ujāloñ kī muntazir hai
vo kone meñ lagā jaalā bhī thak gayā hai
niilī dīvāreñ jo ummīd kā ik zāviya banātī thiiñ
ḳhud ko parde se chhupātī haiñ
ki khiḌkī se nazar aatā
bārish kā ḳhūbsūrat manzar
mahzūz kun thā
calender ke palaTne par
ab ram nazm bhī sunā.ī nahīñ detī
magar khiḌkī par rasta banātā huā paanī
vo bhī be-tāb hai ki jhāñk le andar
ki pahroñ kaun hai jo chup kī sham.a jalā.e
khiḌkī par paḌe paanī ke qatroñ ko
muqaddas se muqaddas jāntā hai
ki ek ek qatra aañsū se shabīh hai
ki barse to bahut barse vagarna qaht vājib hai
main apne band kamre mein paDa hun
ki raushni bhi ujalon ki muntazir hai
wo kone mein laga jala bhi thak gaya hai
nili diwaren jo ummid ka ek zawiya banati thin
KHud ko parde se chhupati hain
ki khiDki se nazar aata
barish ka KHubsurat manzar
mahzuz kun tha
calender ke palaTne par
ab ram nazm bhi sunai nahin deti
magar khiDki par rasta banata hua pani
wo bhi be-tab hai ki jhank le andar
ki pahron kaun hai jo chup ki shama jalae
khiDki par paDe pani ke qatron ko
muqaddas se muqaddas jaanta hai
ki ek ek qatra aansu se shabih hai
ki barse to bahut barse wagarna qaht wajib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.