qaid
qaid hai qaid kī mī.ād nahīñ
jaur hai jaur kī fariyād nahīñ daad nahīñ
raat hai raat kī ḳhāmoshī hai tanhā.ī hai
duur mahbas kī fasīloñ se bahut duur kahīñ
sīna-e-shahr kī gahrā.ī se ghanToñ kī sadā aatī hai
chauñk jaatā hai dimāġh
jhilmilā jaatī hai anfās kī lau
jaag uThtī hai mirī sham-e-shabistān-e-ḳhayāl
zindagānī kī ek ik baat kī yaad aatī hai
shāh-rāhoñ meñ galī kūchoñ meñ insānoñ kī bhiiḌ
un ke masrūf qadam
un ke māthe pe taraddud ke nuqūsh
un kī āñkhoñ meñ ġham-e-dosh aur andesha-e-fardā kā ḳhayāl
saikḌoñ lākhoñ qadam
saikḌoñ lākhoñ qadam
saikḌoñ lākhoñ dhaḌakte hue insānoñ ke dil
jaur-e-shāhī se ġhamīñ jabr-e-siyāsat se niDhāl
jaane kis moḌ pe ye dhan se dhamākā ho jaa.eñ
sālhā-sāl kī afsurda o majbūr javānī kī umañg
tauq o zanjīr se lipTī huī so jaatī hai
karvaTeñ lene meñ zanjīr kī jhankār kā shor
ḳhvāb meñ ziist kī shorish kā pata detā hai
mujhe ġham hai ki mirā ganj-e-girāñ-māya-e-umr
nazr-e-zindāñ huā
nazr-e-āzādī-e-zindān-e-vatan kyuuñ na huā
qaid hai qaid ki miad nahin
jaur hai jaur ki fariyaad nahin dad nahin
raat hai raat ki KHamoshi hai tanhai hai
dur mahbas ki fasilon se bahut dur kahin
sina-e-shahr ki gahrai se ghanTon ki sada aati hai
chaunk jata hai dimagh
jhilmila jati hai anfas ki lau
jag uThti hai meri sham-e-shabistan-e-KHayal
zindagani ki ek ek baat ki yaad aati hai
shah-rahon mein gali kuchon mein insanon ki bhiD
un ke masruf qadam
un ke mathe pe taraddud ke nuqush
un ki aankhon mein gham-e-dosh aur andesha-e-farda ka KHayal
saikDon lakhon qadam
saikDon lakhon qadam
saikDon lakhon dhaDakte hue insanon ke dil
jaur-e-shahi se ghamin jabr-e-siyasat se niDhaal
jaane kis moD pe ye dhan se dhamaka ho jaen
salha-sal ki afsurda o majbur jawani ki umang
tauq o zanjir se lipTi hui so jati hai
karwaTen lene mein zanjir ki jhankar ka shor
KHwab mein zist ki shorish ka pata deta hai
mujhe gham hai ki mera ganj-e-giran-maya-e-umr
nazr-e-zindan hua
nazr-e-azadi-e-zindan-e-watan kyun na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.