qaid mein raqs
sab ke liye nā-pasandīda uḌtī makkhī
kitnī āzādī se mere muñh aur mere hāthoñ par baiThtī hai
aur is roz-marra se āzād hai jis meñ maiñ qaid huuñ
maiñ to sub.h ko ghar bhar kī ḳhaak sameTtī jaatī huuñ
aur merā chehra ḳhaak pahantā jaatā hai
dopahar ko dhuup aur chūlhe kī aag
ye donoñ mil kar vaar kartī haiñ
gardan pe chhurī aur añgāra āñkheñ
ye merā shaam kā roz-marra hai
raat bhar shauhar kī ḳhvāhish kī mashaqqat
merī niiñd hai
merā andar tumhārā zahr
har tiin mahīne ba.ad nikāl pheñktā hai
tum baap nahīñ ban sake
merā bhī jī nahīñ kartā ki tum mere bachche ke baap bano
mirā badan merī ḳhvāhish kā ehtirām kartā hai
maiñ apne niilo niil badan se pyaar kartī huuñ
magar mujhe makkhī jitnī āzādī bhī tum kahāñ de sakoge
tum ne aurat ko makkhī banā kar botal meñ band karnā sīkhā hai
sab ke liye na-pasandida uDti makkhi
kitni aazadi se mere munh aur mere hathon par baiThti hai
aur is roz-marra se aazad hai jis mein main qaid hun
main to subh ko ghar bhar ki KHak sameTti jati hun
aur mera chehra KHak pahanta jata hai
dopahar ko dhup aur chulhe ki aag
ye donon mil kar war karti hain
gardan pe chhuri aur angara aankhen
ye mera sham ka roz-marra hai
raat bhar shauhar ki KHwahish ki mashaqqat
meri nind hai
mera andar tumhaara zahr
har tin mahine baad nikal phenkta hai
tum bap nahin ban sake
mera bhi ji nahin karta ki tum mere bachche ke bap bano
mera badan meri KHwahish ka ehtiram karta hai
main apne nilo nil badan se pyar karti hun
magar mujhe makkhi jitni aazadi bhi tum kahan de sakoge
tum ne aurat ko makkhi bana kar botal mein band karna sikha hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 117)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.