qaid se najat
baare aa.ī najāt kī baarī
khul gayā uqda-e-giraftārī
ham ko mansab milā rihā.ī kā
qaid ko jā.edād-e-bekārī
paañv ko chhoḌ bhāge mār-e-do-sar
sar ko pushtāra-e-girāñbārī
kuuch Thahrā maqām-e-ġhurbat se
ab vatan chalne kī hai tayyārī
ruḳhsat ai dostān-e-zindānī
alvidā ai ġham-e-giraftārī
arrahīl ai mashaqqat-e-har-zor
al-firāq ai hujūm-e-nā-chārī
daal fe ain ai kitābat-e-qaid
gaaf miim ai hisāb-e-sarkārī
daal chāval se kah do ruḳhsat hoñ
paanī meñ Duube ye namak khārī
machhliyoñ se kaho ki haT ke saḌeñ
ghaas khode yahāñ kī tarkārī
chīnī barhamā malā.ī madrāsī
ahl-e-āshām jañgalī tātārī
apne dīdār se maaf kareñ
apnī bātoñ se deñ subuk-sārī
kaale paanī se hote haiñ ruḳhsat
ashk-e-shādī haiñ āñkhoñ se jaarī
baiThte haiñ jahāz duurī par
uThte haiñ lañgar-e-girāñbārī
karam ai ḳhizr al-madad ai nuuh
rahm ai fazl-e-hazrat-e-bārī
assalām ai ḳharosh-e-bahr-e-muhīt
assafar ai safīna-e-jārī
zād-e-rāh-e-safar tavakkul hai
rahnumā.ī ko us kī ġhaffārī
hai irāda ki fikr-e-sher kareñ
taaki ho duur rañj-e-bekārī
bas-ki barsoñ rahā huuñ zindāñ meñ
bhūlī qasr-e-suḳhan kī memārī
bare aai najat ki bari
khul gaya uqda-e-giraftari
hum ko mansab mila rihai ka
qaid ko jaedad-e-bekari
panw ko chhoD bhage mar-e-do-sar
sar ko pushtara-e-giranbari
kuch Thahra maqam-e-ghurbat se
ab watan chalne ki hai tayyari
ruKHsat ai dostan-e-zindani
alwida ai gham-e-giraftari
arrahil ai mashaqqat-e-har-zor
al-firaq ai hujum-e-na-chaari
dal fe ain ai kitabat-e-qaid
gaf mim ai hisab-e-sarkari
dal chawal se kah do ruKHsat hon
pani mein Dube ye namak khaari
machhliyon se kaho ki haT ke saDen
ghas khode yahan ki tarkari
chini barhama malai madrasi
ahl-e-asham jangali tatari
apne didar se maf karen
apni baaton se den subuk-sari
kale pani se hote hain ruKHsat
ashk-e-shadi hain aankhon se jari
baiThte hain jahaz duri par
uThte hain langar-e-giranbari
karam ai KHizr al-madad ai nuh
rahm ai fazl-e-hazrat-e-bari
assalam ai KHarosh-e-bahr-e-muhit
assafar ai safina-e-jari
zad-e-rah-e-safar tawakkul hai
rahnumai ko us ki ghaffari
hai irada ki fikr-e-sher karen
taki ho dur ranj-e-bekari
bas-ki barson raha hun zindan mein
bhuli qasr-e-suKHan ki memari
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 109)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (Edition I 1982,Editon II 2010)
- Edition : Edition I 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.