qarar-e-jaan
tumhāre āriz-o-lab
pe nisār kitne hoñ
tumhāre fikr-o-jamāl
ke hoñ shaidā.ī
tumhāre sandalī bose
kisī ruḳh pe mehrbāñ hoñ
tumhāre bāzuoñ kī
panāheñ kisī kā hāsil hoñ
tumhāre gesu-e-mushk-bār
kisī kī saañs
mahkā.eñ
tumhāre nuqra.ī lab
laakh kaif churā.eñ
tumhāre dil pe kisī
kī muhr jagmagātī ho
magar itnā to hai
mohan
tumhāre naqsh-e-kaf-e-pā pe
mirī peshānī kā haq hai
tumhaare aariz-o-lab
pe nisar kitne hon
tumhaare fikr-o-jamal
ke hon shaidai
tumhaare sandali bose
kisi ruKH pe mehrban hon
tumhaare bazuon ki
panahen kisi ka hasil hon
tumhaare gesu-e-mushk-bar
kisi ki sans
mahkaen
tumhaare nuqrai lab
lakh kaif churaen
tumhaare dil pe kisi
ki muhr jagmagati ho
magar itna to hai
mohan
tumhaare naqsh-e-kaf-e-pa pe
meri peshani ka haq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.