qarib aao
qarīb aao
aur apnī sāñseñ mire badan ke tarāzuoñ ko udhār de do
mire badan ke udaas goshe
tarāzuoñ ke qadīm maskan
ye sochte haiñ ki kab parindoñ kī phaḌphaḌāhaT sukūt ke kaan meñ bajegī
bahisht-e-mau.ūd
apne seboñ kī qāsheñ
mere banjar qadīm hoñToñ pe kab dharegī
tulū-e-hastī kā dā.era kab mire badan par muhīt hogā
maiñ sard-ḳhānoñ se aa rahā huuñ
qarīb aao
aur apnī sāñseñ mire badan ke tarāzuoñ ko udhār de do
qarib aao
aur apni sansen mere badan ke taraazuon ko udhaar de do
mere badan ke udas goshe
taraazuon ke qadim maskan
ye sochte hain ki kab parindon ki phaDphaDahaT sukut ke kan mein bajegi
bahisht-e-mauud
apne sebon ki qashen
mere banjar qadim honTon pe kab dharegi
tulu-e-hasti ka daera kab mere badan par muhit hoga
main sard-KHanon se aa raha hun
qarib aao
aur apni sansen mere badan ke taraazuon ko udhaar de do
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 40)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.