qasam
qasam khātā huuñ maiñ hindostāñ kī shān-o-shaukat kī
qasam khātā huuñ himmat kī dilerī kī shujā.at kī
qasam khātā huuñ ai bhārat tirī aglī hikāyat kī
qasam khātā huuñ ai ġhairat tirī pur-josh jur.at kī
ki apnī azmat-e-ḳhufta ko nezoñ se jagā dūñgā
maza be-jā jasārat kā harīfoñ ko chakhā dūñgā
ġhazab kī bijliyāñ ban kar muḳhālif ko jalā dūñgā
na.ī duniyā nayā aalam na.ī bastī basā dūñgā
qasam khātā huuñ bhārat ke javānoñ kī javānī kī
qasam khātā huuñ maiñ sub.h-e-vatan kī shādmānī kī
qasam khātā huuñ maiñ fat.h-o-zafar kī kāmrānī kī
qasam khātā huuñ maiñ gang-o-jaman kī bhī ravānī kī
sipāhī sūrmā ban kar abhī maidāñ meñ jaatā huuñ
kamar meñ teġh-e-hindī haath meñ neza uThātā huuñ
kamāñ ko khīñchtā huuñ baan arjun kā chalātā huuñ
ġharaz yuuñ dushmanoñ ke ḳhuun kī naddī bahātā huuñ
qasam khata hun main hindostan ki shan-o-shaukat ki
qasam khata hun himmat ki dileri ki shujaat ki
qasam khata hun ai bhaarat teri agli hikayat ki
qasam khata hun ai ghairat teri pur-josh jurat ki
ki apni azmat-e-KHufta ko nezon se jaga dunga
maza be-ja jasarat ka harifon ko chakha dunga
ghazab ki bijliyan ban kar muKHalif ko jala dunga
nai duniya naya aalam nai basti basa dunga
qasam khata hun bhaarat ke jawanon ki jawani ki
qasam khata hun main subh-e-watan ki shadmani ki
qasam khata hun main fath-o-zafar ki kaamrani ki
qasam khata hun main gang-o-jaman ki bhi rawani ki
sipahi surma ban kar abhi maidan mein jata hun
kamar mein tegh-e-hindi hath mein neza uThata hun
kaman ko khinchta hun ban arjun ka chalata hun
gharaz yun dushmanon ke KHun ki naddi bahata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.