qasbaati laDkon ka git
ham terī sub.hoñ kī os meñ bhīgī
āñkhoñ ke saath
dinoñ kī is bastī ko dekhte haiñ
ham tere ḳhush-ilhān parinde
har jānib terī muñDereñ khojte haiñ
ham nikle the
tere māthe ke liye bosa DhūñDne
ham ā.eñge
bojhal qadmoñ ke saath
tere tārīk hujroñ meñ phirne ke liye
tere siine par
apnī ukTāhaToñ ke phuul bichhāne
sar-phirī havā ke saath
tere ḳhālī chaubāroñ meñ phirne ke liye
tere sehnoñ se uThte dhueñ ko
apnī āñkhoñ meñ bharne
tere ujle bachchoñ kī mailī āstīnoñ se
apne aañsū poñchhne
terī kaa.ī zada dīvāroñ se
lipaT jaane ke liye
ham ā.eñge
niiñd aur bachpan kī ḳhushbū meñ soī huī
terī rātoñ kī chhat par
ujlī chārpā.iyāñ bichhāne
motiye ke phūloñ se pare
apnī chīḳhtī tanhā.iyāñ uThāne
ham lauTeñge terī jānib
aur dekheñge terī būḌhī īñToñ ko
umroñ ke rat-jagoñ se dukhtī āñkhoñ ke saath
ūñche nīche makānoñ meñ ghire
guzishta ke gaḌhe meñ
ek baar phir girne ke liye
lambī taan kar sone ke liye
ham ā.eñge tere mazāfāt meñ
miTTī hone ke liye
hum teri subhon ki os mein bhigi
aankhon ke sath
dinon ki is basti ko dekhte hain
hum tere KHush-ilhan parinde
har jaanib teri munDeren khojte hain
hum nikle the
tere mathe ke liye bosa DhunDne
hum aaenge
bojhal qadmon ke sath
tere tarik hujron mein phirne ke liye
tere sine par
apni ukTahaTon ke phul bichhane
sar-phiri hawa ke sath
tere KHali chaubaron mein phirne ke liye
tere sehnon se uThte dhuen ko
apni aankhon mein bharne
tere ujle bachchon ki maili aastinon se
apne aansu ponchhne
teri kai zada diwaron se
lipaT jaane ke liye
hum aaenge
nind aur bachpan ki KHushbu mein soi hui
teri raaton ki chhat par
ujli chaarpaiyan bichhane
motiye ke phulon se pare
apni chiKHti tanhaiyan uThane
hum lauTenge teri jaanib
aur dekhenge teri buDhi inTon ko
umron ke rat-jagon se dukhti aankhon ke sath
unche niche makanon mein ghire
guzishta ke gaDhe mein
ek bar phir girne ke liye
lambi tan kar sone ke liye
hum aaenge tere mazafat mein
miTTi hone ke liye
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 154)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.