qasida kya hai
fārsī arabī meñ gūñjī is kī sadā
shaan meñ bādshāhoñ kī likkhā gayā
lafzoñ kī shān-o-shaukat milegī yahāñ
bā-vaqār is kā hotā hai bachcho bayāñ
hai qasīde meñ tanz aur tārīf bhī
kaifiyat is meñ hotī hai ik nazm sī
is meñ dekhoge tum naqsha māhaul kā
pāoge sheroñ meñ saaya māhaul kā
sinf hai ik purānī qasīda miyāñ
ḳhaas aur aam kī hai ye ḳhud tarjumāñ
is ke ajzā meñ tashbīb hai aur gurez
madh-o-zam mudda.ā aur duā naġhma-rez
māhir-e-fan na ho gar qasīda-nigār
to qasīda na likkhegā vo shāndār
hai qasīde meñ saudā kā mash.hūr naam
rūh-e-saudā ko 'hāfiz' hamārā salām
farsi arabi mein gunji is ki sada
shan mein baadshahon ki likkha gaya
lafzon ki shan-o-shaukat milegi yahan
ba-waqar is ka hota hai bachcho bayan
hai qaside mein tanz aur tarif bhi
kaifiyat is mein hoti hai ek nazm si
is mein dekhoge tum naqsha mahaul ka
paoge sheron mein saya mahaul ka
sinf hai ek purani qasida miyan
KHas aur aam ki hai ye KHud tarjuman
is ke ajza mein tashbib hai aur gurez
madh-o-zam muddaa aur dua naghma-rez
mahir-e-fan na ho gar qasida-nigar
to qasida na likkhega wo shandar
hai qaside mein sauda ka mashhur nam
ruh-e-sauda ko 'hafiz' hamara salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.