qatl-e-awaz
dil Duub gayā sannāTe meñ
āvāz ke qātil lamhoñ ne
har aañkh meñ dahshat bhar dī hai
dil dard ke nashtar sahtā hai
aur ḳhud se aksar kahtā hai
iz.hār kā pul hī TuuT gayā
ab dard-gusārī mushkil hai
us paar na pahuñche baat mirī
is paar na duniyā vāloñ kī
āvāz kā mātam kaun kare
lafzoñ se hī yaarī TuuT ga.ī
dil Dub gaya sannaTe mein
aawaz ke qatil lamhon ne
har aankh mein dahshat bhar di hai
dil dard ke nashtar sahta hai
aur KHud se aksar kahta hai
izhaar ka pul hi TuT gaya
ab dard-gusari mushkil hai
us par na pahunche baat meri
is par na duniya walon ki
aawaz ka matam kaun kare
lafzon se hi yari TuT gai
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 99)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.