qatl
maiñ bahut duur se
us ko aate hue dekh kar
sochtā huuñ ki ye
vo nahīñ
bas mirā vahm hai
aur is vahm ne
aur is vahm ne
us se hī miltī-jultī lakīreñ
merī aañkh kī putliyoñ meñ utārī haiñ ki
maiñ ki ik bul-havas
āñkheñ phāḌe hue dekhtā huuñ use
ki kahīñ lauT kar vo na aa jaa.e phir
aur mujhe
log
apne hī jaisā samajhne lageñ
main bahut dur se
us ko aate hue dekh kar
sochta hun ki ye
wo nahin
bas mera wahm hai
aur is wahm ne
aur is wahm ne
us se hi milti-julti lakiren
meri aankh ki putliyon mein utari hain ki
main ki ek bul-hawas
aankhen phaDe hue dekhta hun use
ki kahin lauT kar wo na aa jae phir
aur mujhe
log
apne hi jaisa samajhne lagen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.